nazm
ḳhazānoñ ko tum DhūñDne par musir ho
Tapaktā hai ḳhuuñ nāḳhunoñ se aur āñkhoñ se
khoī huī niiñd kī talḳh surḳhī
ye khetoñ kī jiitī jaḌeñ kāTte phāvḌe aur kudāleñ
maiñ ḳhud maut ke haath jis ke tamasḳhur
se tum be-ḳhabar ho
hathelī par umr aur dil kī lakīroñ meñ aTke
ye maddham se zarre ki jin meñ abhī tak tumhāre
ab vajd kī miTTī
kī ik jhilmilātī kiran kitne zarḳhez va.adoñ
ke din-rāt tajtī huī is ghaḌī
qaid meñ hai
tumhārī tarah vo ḳhazānoñ pe baiThe hue saañp
taaza lahū pī ke phir se kisī kho.e nashe
kī jannat meñ ghulne
ḳhayālī azāboñ meñ jalne kī hairat se goyā
sarāpā zar-o-sīm kī yaḳh salāḳheñ aur āñkheñ
bilor aur hiire
ḳhazāne to sab ḳhaak meñ mil chuke haiñ
havā aur havas ke purāne Thikānoñ pe ab nau-ba-nau
phuul hasrat ke dekho
ye miTTī ki chup hai bas us ke dafīne
baras ke baras chaar din phuul pattoñ kī liilā
ye miTTī tumheñ DhūñDtī hai
KHazanon ko tum DhunDne par musir ho
Tapakta hai KHun naKHunon se aur aankhon se
khoi hui nind ki talKH surKHi
ye kheton ki jiti jaDen kaTte phawDe aur kudalen
main KHud maut ke hath jis ke tamasKHur
se tum be-KHabar ho
hatheli par umr aur dil ki lakiron mein aTke
ye maddham se zarre ki jin mein abhi tak tumhaare
ab wajd ki miTTi
ki ek jhilmilati kiran kitne zarKHez wadon
ke din-raat tajti hui is ghaDi
qaid mein hai
tumhaari tarah wo KHazanon pe baiThe hue sanp
taza lahu pi ke phir se kisi khoe nashe
ki jannat mein ghulne
KHayali azabon mein jalne ki hairat se goya
sarapa zar-o-sim ki yaKH salaKHen aur aankhen
bilor aur hire
KHazane to sab KHak mein mil chuke hain
hawa aur hawas ke purane Thikanon pe ab nau-ba-nau
phul hasrat ke dekho
ye miTTi ki chup hai bas us ke dafine
baras ke baras chaar din phul patton ki lila
ye miTTi tumhein DhunDti hai
- Book : Pakistani Adab (Pg. 218)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.