nazm
muskurāte raho gungunāte raho
amn se hoñ bhare tere qalb aur jaañ
tum ko mil jaa.eñ ḳhushiyoñ bhare do-jahāñ
ye falak ye zamīñ bhar deñ terī jabīñ
terī palkoñ pe ḳhushiyoñ ke taare baseñ
tere jazboñ ko alfāz milte raheñ
terī āñkhoñ meñ jugnū chamakte raheñ
aane vaale dinoñ meñ rahe ḳhushnumā
terā har pal mahak jaa.e ai mehrbāñ
zindagī ho tirī jiit kī tarjumāñ
tum ko de de ḳhudā manziloñ kā nishāñ
ik hasīñ āshiyāñ
ai mire mehrbāñ
muskurāte hue gungunāte hue
apne maazī ko kar alvidā'
muskuraate raho gungunate raho
amn se hon bhare tere qalb aur jaan
tum ko mil jaen KHushiyon bhare do-jahan
ye falak ye zamin bhar den teri jabin
teri palkon pe KHushiyon ke tare basen
tere jazbon ko alfaz milte rahen
teri aankhon mein jugnu chamakte rahen
aane wale dinon mein rahe KHushnuma
tera har pal mahak jae ai mehrban
zindagi ho teri jit ki tarjuman
tum ko de de KHuda manzilon ka nishan
ek hasin aashiyan
ai mere mehrban
muskuraate hue gungunate hue
apne mazi ko kar alwida'
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.