nazm
na jaane kitne din guzre
na koī call na message
na koī rābta rakhā
tumheñ maiñ yaad to huuñ nā
yā mujh ko bhuul baiThe ho
kahāñ apnā hamesha saath rahne kā irāda thā
ki chāhe jo bhī ho jaa.e kabhī bhī ham na bichhḌeñge
tumhārā bhī to va.ada thā
tumheñ mālūm hai kaise tumhāre bin rahā huuñ maiñ
maiñ shab bhar jāgtā aur chāñd se bāteñ kiyā kartā
kahīñ jab baat aatī thī tumhāre husn kī to maiñ
ulajh paḌtā thā us se bhī
tumhāre husn ke haq meñ dalīleñ merī sun sun kar
sitāre hañsne lagte the
tumhārī vāpsī ke ḳhvāb mujh ko din meñ aate the
are dekho ye maiñ bhī nā
baḌā pāgal huuñ jān-e-jāñ
ye bhī kyā vaqt hai koī shikāyat kā
chalo chhoḌo haTāo sab
janam-din hai tumhārā aaj
ki shikve aur shikāyat ko to saarī umr baaqī hai
tumheñ ye din mubārak ho
tumhārā din mubārak ho
na jaane kitne din guzre
na koi call na message
na koi rabta rakha
tumhein main yaad to hun na
ya mujh ko bhul baiThe ho
kahan apna hamesha sath rahne ka irada tha
ki chahe jo bhi ho jae kabhi bhi hum na bichhDenge
tumhaara bhi to wada tha
tumhein malum hai kaise tumhaare bin raha hun main
main shab bhar jagta aur chand se baaten kiya karta
kahin jab baat aati thi tumhaare husn ki to main
ulajh paDta tha us se bhi
tumhaare husn ke haq mein dalilen meri sun sun kar
sitare hansne lagte the
tumhaari wapsi ke KHwab mujh ko din mein aate the
are dekho ye main bhi na
baDa pagal hun jaan-e-jaan
ye bhi kya waqt hai koi shikayat ka
chalo chhoDo haTao sab
janam-din hai tumhaara aaj
ki shikwe aur shikayat ko to sari umr baqi hai
tumhein ye din mubarak ho
tumhaara din mubarak ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.