nazm
na pūchho kis jahān-e-rang-o-bū se ho ke aa.e haiñ
jahāñ dil se matā-e-be-bahā ham kho ke aa.e haiñ
qayāmat thā nazāra us gulistān-e-mohabbat kā
nam-e-ruḳhsār-e-gul se chashm-e-tar ham dho ke aa.e haiñ
ḳhudā us ḳhitta-e-gulzār ko phūlā phalā rakhe
jahāñ ham nau-ba-nau tuḳhm-e-mohabbat bo ke aa.e haiñ
mohabbat karne vāloñ kī mohabbat se bahut kam thā
dam-e-ruḳhsat ham un ke aage jitnā ro ke aa.e haiñ
hamārī ḳhvāb kī rangīniyoñ kā pūchhnā kyā thā
mohabbat kī fazā meñ farsh-e-gul par so ke aa.e haiñ
alā.uddīn se mil kar idhar lauTe haiñ ham jab se
sab ahl-e-dil ye kahte haiñ ki ham kuchh ho ke aa.e haiñ
'ziyā.ī' aur 'nayyar' ke sivā aur naam bhī hoñge
mohabbat ke sahīfoñ meñ faqat in do ke aa.e haiñ
Thaharte hī Thaharte ye dil-e-betāb Thahregā
abhī kai din hue jab ham karachi ho ke aa.e haiñ
na puchho kis jahan-e-rang-o-bu se ho ke aae hain
jahan dil se mata-e-be-baha hum kho ke aae hain
qayamat tha nazara us gulistan-e-mohabbat ka
nam-e-ruKHsar-e-gul se chashm-e-tar hum dho ke aae hain
KHuda us KHitta-e-gulzar ko phula phala rakhe
jahan hum nau-ba-nau tuKHm-e-mohabbat bo ke aae hain
mohabbat karne walon ki mohabbat se bahut kam tha
dam-e-ruKHsat hum un ke aage jitna ro ke aae hain
hamari KHwab ki ranginiyon ka puchhna kya tha
mohabbat ki faza mein farsh-e-gul par so ke aae hain
alauddin se mil kar idhar lauTe hain hum jab se
sab ahl-e-dil ye kahte hain ki hum kuchh ho ke aae hain
'ziyai' aur 'nayyar' ke siwa aur nam bhi honge
mohabbat ke sahifon mein faqat in do ke aae hain
Thaharte hi Thaharte ye dil-e-betab Thahrega
abhi kai din hue jab hum karachi ho ke aae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.