nazm
nanhe
dekh vo phuul hai jis par titlī hai
apne ghar se tujh ko dekhne niklī hai
phuul se vo ḳhushbū kī mahak banā.egī
phir vo ḳhush ḳhush
tujh se milne aa.egī
nanhe
phuul us ne tujh ko dekhā hai
tujh ko dekh ke pyaar se merā naam likhā hai
ab vo tere naam kī ḳhushbū laa.ī hai
us ne sab ko terī baat batā.ī hai
nanhe dekh
ye kaisī pyārī duniyā hai
jis meñ ḳhushbū ban kar tujh ko jiinā hai
nanhe tujh se duur
maiñ jab chhup jā.ūñgā
āte-jāte tujh ko dekh na pā.ūñgā
kyā tum titlī ban kar
DhūñDne nikloge
mujh se milne nikloge
nanhe
dekh wo phul hai jis par titli hai
apne ghar se tujh ko dekhne nikli hai
phul se wo KHushbu ki mahak banaegi
phir wo KHush KHush
tujh se milne aaegi
nanhe
phul us ne tujh ko dekha hai
tujh ko dekh ke pyar se mera nam likha hai
ab wo tere nam ki KHushbu lai hai
us ne sab ko teri baat batai hai
nanhe dekh
ye kaisi pyari duniya hai
jis mein KHushbu ban kar tujh ko jina hai
nanhe tujh se dur
main jab chhup jaunga
aate-jate tujh ko dekh na paunga
kya tum titli ban kar
DhunDne nikloge
mujh se milne nikloge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.