nazm
mile kachehrī meñ ik roz shaiḳh ḳhairātī
hai ik zamāne se un kī mirī alaik salaik
nahīñ hai jhūTī gavāhī se ijtināb unheñ
kiyā na aaj tak is par magar kisī ne attack
alāva is ke amīroñ ke haiñ ye supplier
ki maal karte haiñ ye un kī hasb-e-manshā paik
ho jis meñ fā.eda vo kaam kar guzarte haiñ
kabhī front meñ jā kar nahīñ haiñ hote back
hijāz jaate haiñ har saal sonā laane ko
ye business aaj tak in kī kabhī huī na salaik
ye haj ke din bhī haiñ labbaik ke evaz kahte
ḳhudā ke ghar meñ faqat rabbanā black black
mile kachehri mein ek roz shaiKH KHairaati
hai ek zamane se un ki meri alaik salaik
nahin hai jhuTi gawahi se ijtinab unhen
kiya na aaj tak is par magar kisi ne attack
alawa is ke amiron ke hain ye supplier
ki mal karte hain ye un ki hasb-e-mansha paik
ho jis mein faeda wo kaam kar guzarte hain
kabhi front mein ja kar nahin hain hote back
hijaz jate hain har sal sona lane ko
ye business aaj tak in ki kabhi hui na salaik
ye haj ke din bhi hain labbaik ke ewaz kahte
KHuda ke ghar mein faqat rabbana black black
- Book : Muntakhab Shahekar Mazahiya Shayari (Pg. 130)
- Author : Roohi Kanjahi
- Publication : Alhamd Publications (1992)
- Edition : 1992
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.