nazm
paḌh bhī rahe ho
yā yuuñ hī
maiñ apne varaq palaT rahī huuñ
kisī bhī aur sūrat meñ
maiñ tumheñ
sālim nahīñ milūñgī
āḳhirī baar
tumhārī haath kī lakīreñ
mujhe chhū rahī haiñ
pahlī baar
kisī ḳhvāhish ne
mujhe sahlāyā hai
ki maiñ tumhāre man meñ mujallad huuñ
āḳhirī
yā
pahle panne ke badan se
koī lafz phail bhī saktā hai
mujhe merī man kī qabr meñ hī
paḌh lo
novel nahīñ
ek dard huuñ maiñ
jo zindagī se
zyāda pathrīlā hai
dard kabhī bhī tumhāre man se mil saktā hai
bas tūfān kā
koī halaf nahīñ uThānā
paDh bhi rahe ho
ya yun hi
main apne waraq palaT rahi hun
kisi bhi aur surat mein
main tumhein
salim nahin milungi
aaKHiri bar
tumhaari hath ki lakiren
mujhe chhu rahi hain
pahli bar
kisi KHwahish ne
mujhe sahlaya hai
ki main tumhaare man mein mujallad hun
aaKHiri
ya
pahle panne ke badan se
koi lafz phail bhi sakta hai
mujhe meri man ki qabr mein hi
paDh lo
nowel nahin
ek dard hun main
jo zindagi se
zyaada pathrila hai
dard kabhi bhi tumhaare man se mil sakta hai
bas tufan ka
koi halaf nahin uThana
- Book : Man Baani (Pg. 404)
- Author : Dr. Shabnam Ashai
- Publication : Maktaba istiara 248, Gaffar Apartment, Gaffar Manzil istiara Lane, Jamia Nagar, Okhla (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.