nazm
pahle to des bhārat amn-o-amāñ kā ghar thā
rahte the sab ikaTThe koī na ḳhauf Dar thā
kyā ho gayā hai ab ye jhagḌe kī hai samā.ī
kuchh bhuul ho ga.ī hai sadā apnī hī gañvā.ī
apne hī bhā.iyoñ par aafat jo Dhā rahī haiñ
aapas meñ phuuT kar ke izzat gañvā rahī haiñ
amn-o-amāñ kī duniyā barbād kar rahe haiñ
nāhaq-o-nāravā hī fariyād kar rahe haiñ
suntā hai kaun apnī ham kis ko ye sunā.eñ
ye bhuul hai sarāsar kis tarah ye batā.eñ
vahdat ke falsafa ko ham ne miTā diyā hai
duniyā hai chand roza ye bhī bhulā diyā hai
kuchh yaad bhī haiñ tum ko ek bramhā ke ma.anī
hai lā-sharīk vāhid parvardigār ya.anī
saare jahāñ meñ hastī us kī zuhūr us kā
āñkhoñ meñ nuur us kā dil meñ surūr us kā
kasrat kī ek-sānī vahdat kā hai namūna
har zarra se ayaañ hai ulfat kā ye namūna
ahl-e-vatan se apnī ab iltijā yahī hai
baaz aa.eñ jhūTī zid se bas mudda.ā yahī hai
pahle to des bhaarat amn-o-aman ka ghar tha
rahte the sab ikaTThe koi na KHauf Dar tha
kya ho gaya hai ab ye jhagDe ki hai samai
kuchh bhul ho gai hai sada apni hi ganwai
apne hi bhaiyon par aafat jo Dha rahi hain
aapas mein phuT kar ke izzat ganwa rahi hain
amn-o-aman ki duniya barbaad kar rahe hain
nahaq-o-narawa hi fariyaad kar rahe hain
sunta hai kaun apni hum kis ko ye sunaen
ye bhul hai sarasar kis tarah ye bataen
wahdat ke falsafa ko hum ne miTa diya hai
duniya hai chand roza ye bhi bhula diya hai
kuchh yaad bhi hain tum ko ek bramha ke mani
hai la-sharik wahid parwardigar yani
sare jahan mein hasti us ki zuhur us ka
aankhon mein nur us ka dil mein surur us ka
kasrat ki ek-sani wahdat ka hai namuna
har zarra se ayan hai ulfat ka ye namuna
ahl-e-watan se apni ab iltija yahi hai
baz aaen jhuTi zid se bas muddaa yahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.