nazm
parinde laakh āsūda raheñ
sone ke pinjroñ meñ
magar āzādī-e-fardā kī ḳhvāhish
jāgtī rahtī hai sīnoñ meñ
nigāheñ muztarib
kahtī haiñ
koī aa.e
shu.ūr-e-jāñ-fizā se
tīliyāñ pinjroñ kī toḌe
yā zarā darvāza khole
uḌaa.e par shikasta ko
vo chamaktī raushnī
shāyad koī aayā
nahīñ koī nahīñ aayā
na aa.egā
parinde ḳhud hī apnā zor-e-bāzū āzmā.eñge
parinde lakh aasuda rahen
sone ke pinjron mein
magar aazadi-e-farda ki KHwahish
jagti rahti hai sinon mein
nigahen muztarib
kahti hain
koi aae
shuur-e-jaan-fiza se
tiliyan pinjron ki toDe
ya zara darwaza khole
uDae par shikasta ko
wo chamakti raushni
shayad koi aaya
nahin koi nahin aaya
na aaega
parinde KHud hi apna zor-e-bazu aazmaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.