nazm
raat kāġhaz qalam kā ajab khel thā
un ke qadmoñ kā naqsha banāyā gayā
aur qadmoñ meñ dil ko sajāyā gayā
dil kī me.arāj the naqsh-e-pā pyaar ke
kyā machaltā thā dil zindagī vaar ke
aur phir jaag uTThī adā husn kī
merā dil un ke zer-e-qadam aa gayā
merī jur.at to dekho ai jān-e-vafā
apnā zauq-e-junūñ āzmātā rahā
tere qadmoñ ko maiñ ne miTāyā nahīñ
dil kuchalte rahe dil banātā rahā
raat kaghaz qalam ka ajab khel tha
un ke qadmon ka naqsha banaya gaya
aur qadmon mein dil ko sajaya gaya
dil ki mearaj the naqsh-e-pa pyar ke
kya machalta tha dil zindagi war ke
aur phir jag uTThi ada husn ki
mera dil un ke zer-e-qadam aa gaya
meri jurat to dekho ai jaan-e-wafa
apna zauq-e-junun aazmata raha
tere qadmon ko main ne miTaya nahin
dil kuchalte rahe dil banata raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.