nazm
koī saḳht phal kāTte hue
us ne apne ḳhvāb meñ
apnī uñglī kaaT lī
jism se alāhida ho jaane vaalī uñglī ne
ret par lakīreñ banānā shurūa kar diiñ
kuchh adhūre nuqūsh ubhāre
phir vo ek laḳht bhaḌak uThī
sabz surḳh aur dūdhiyā raushnī nikālne ke baad
ye uñglī raakh meñ tabdīl ho ga.ī
raakh se phūTne lagā
ek nanhā sā paudā
us kī nāzuk pattiyoñ par yuuñ gumān hotā thā
goyā shāḳhoñ se nāzuk nāzuk sī uñgliyāñ nikal rahī hoñ
ye sab kuchh mahz ek ḳhvāb thā
ḳhvāb se jāgne ke baad
vo sanjīdgī se us ḳhvāb ke baare meñ sochtā rahā
phir hañs diyā
us ne apnī hathelī thapthapā.ī
Thiik us jagah
jahāñ us kī uñglī ḳhvāb meñ alāhida ho ga.ī thī
vahāñ uñglī hī na thī
us kā saarā badan dhuñdlāne lagā
saath hī
us paude ke nuqūsh vāzeh hone lage
jis kī nāzuk shāḳhoñ meñ
nāzuk nāzuk uñgliyāñ nikal rahī thiiñ
koi saKHt phal kaTte hue
us ne apne KHwab mein
apni ungli kaT li
jism se alahida ho jaane wali ungli ne
ret par lakiren banana shurua kar din
kuchh adhure nuqush ubhaare
phir wo ek laKHt bhaDak uThi
sabz surKH aur dudhiya raushni nikalne ke baad
ye ungli rakh mein tabdil ho gai
rakh se phuTne laga
ek nanha sa pauda
us ki nazuk pattiyon par yun guman hota tha
goya shaKHon se nazuk nazuk si ungliyan nikal rahi hon
ye sab kuchh mahz ek KHwab tha
KHwab se jagne ke baad
wo sanjidgi se us KHwab ke bare mein sochta raha
phir hans diya
us ne apni hatheli thapthapai
Thik us jagah
jahan us ki ungli KHwab mein alahida ho gai thi
wahan ungli hi na thi
us ka sara badan dhundlane laga
sath hi
us paude ke nuqush wazeh hone lage
jis ki nazuk shaKHon mein
nazuk nazuk ungliyan nikal rahi thin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.