nazm
maiñ use bulātā huuñ
aur vo aa jaatā hai
merī kitāboñ ke varaq ulaT palaT kartā hai
phir vo merī mez par paañv rakh kar
us kī maañ ne bhī us ke saath yahī sulūk kiyā thā
aur us kī maañ ke saath
aur us kī maañ ne bhī
to kyā tum ne apnī maañ ko muaaf kar diyā thaa?
aur kyā lauT ke aane vaalī maañ
pahle vaalī maañ hī thii?
mere savālāt par merī maañ kī nazreñ jhuk ga.ī thiiñ
hameñ janm dene vaalī maa.eñ
aur hamārī parvarish karne vaale baap
ek din ham se jhuuT bol kar nikalte haiñ
aur jab vo lauT kar aate haiñ
to vo vo nahīñ hote
hamāre savālāt par
un kī nigāheñ nīchī hotī haiñ
aaj maiñ apne bachche se jhuuT bol kar ghar se niklā huuñ
aur bas kyā batā.ūñ
maiñ apne ghar kā rāsta bhuul gayā huuñ
main use bulata hun
aur wo aa jata hai
meri kitabon ke waraq ulaT palaT karta hai
phir wo meri mez par panw rakh kar
us ki man ne bhi us ke sath yahi suluk kiya tha
aur us ki man ke sath
aur us ki man ne bhi
to kya tum ne apni man ko muaf kar diya tha?
aur kya lauT ke aane wali man
pahle wali man hi thi?
mere sawalat par meri man ki nazren jhuk gai thin
hamein janm dene wali maen
aur hamari parwarish karne wale bap
ek din hum se jhuT bol kar nikalte hain
aur jab wo lauT kar aate hain
to wo wo nahin hote
hamare sawalat par
un ki nigahen nichi hoti hain
aaj main apne bachche se jhuT bol kar ghar se nikla hun
aur bas kya bataun
main apne ghar ka rasta bhul gaya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.