nazm
safed shirt thī tum sīḌhiyoñ pe baiThe the
maiñ jab class se niklī thī muskurāte hue
hamārī pahlī mulāqāt yaad hai nā tumheñ
ishāre karte the tum mujh ko aate jaate hue
tamām raat vo āñkheñ na bhūltī thiiñ mujhe
ki jin meñ mere liye 'izzat aur vaqār dikhe
mujhe ye duniyā bayābān thī magar ik din
tum ek baar dikhe aur be-shumār dikhe
mujhe ye Dar thā ki tum bhī kahīñ vahī to nahīñ
jo jism par hī tamanna ke daaġh chhoḌte haiñ
ḳhudā kā shukr hai ki tum un se muḳhtalif nikle
jo phuul toḌ ke ġhusse meñ baaġh chhoḌte haiñ
ziyāda vaqt na guzrā thā is ta'alluq ko
ki is ke baa'd vo lamha qarīñ qarīñ aaya
chhuā thā tum ne mujhe aur mujhe mohabbat par
yaqīn aaya thā lekin kabhī nahīñ aaya
phir us ke baa'd merā nashsha-e-sukūt gayā
maiñ kashmakash meñ thī tum mere kaun lagte ho
maiñ amritā tumheñ sochūñ to mere sāhir ho
maiñ fārehā tumheñ dekhūñ to jaun lagte ho
ham ek saath rahe aur hameñ pata na chalā
ta'alluqāt kī had-bandiyāñ bhī hotī haiñ
mohabbatoñ ke safar meñ jo rāste haiñ vahī
havas kī samt meñ pagDañDiyāñ bhī hotī haiñ
tumhāre vāste jo mere dil meñ hai 'hāfī'
tumheñ maiñ kaash ye sab kuchh kabhī batā paatī
aur ab mazīd na milne kī koī vaj.h nahīñ
bas apnī maañ se maiñ āñkheñ nahīñ milā paatī
safed shirt thi tum siDhiyon pe baiThe the
main jab class se nikli thi muskuraate hue
hamari pahli mulaqat yaad hai na tumhein
ishaare karte the tum mujh ko aate jate hue
tamam raat wo aankhen na bhulti thin mujhe
ki jin mein mere liye 'izzat aur waqar dikhe
mujhe ye duniya bayaban thi magar ek din
tum ek bar dikhe aur be-shumar dikhe
mujhe ye Dar tha ki tum bhi kahin wahi to nahin
jo jism par hi tamanna ke dagh chhoDte hain
KHuda ka shukr hai ki tum un se muKHtalif nikle
jo phul toD ke ghusse mein bagh chhoDte hain
ziyaada waqt na guzra tha is ta'alluq ko
ki is ke ba'd wo lamha qarin qarin aaya
chhua tha tum ne mujhe aur mujhe mohabbat par
yaqin aaya tha lekin kabhi nahin aaya
phir us ke ba'd mera nashsha-e-sukut gaya
main kashmakash mein thi tum mere kaun lagte ho
main amrita tumhein sochun to mere sahir ho
main fareha tumhein dekhun to jaun lagte ho
hum ek sath rahe aur hamein pata na chala
ta'alluqat ki had-bandiyan bhi hoti hain
mohabbaton ke safar mein jo raste hain wahi
hawas ki samt mein pagDanDiyan bhi hoti hain
tumhaare waste jo mere dil mein hai 'hafi'
tumhein main kash ye sab kuchh kabhi bata pati
aur ab mazid na milne ki koi wajh nahin
bas apni man se main aankhen nahin mila pati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.