nazm
sahrā-e-hastī
meñ
ek chiiz
āvāra bhaTaktī rahī
mar ga.ī
pyaas se
zard-rū
chaman meñ
gard-o-ġhubār
añgḌā.iyāñ
le rahā hai
ḳhushk patte
muntazir haiñ
jumbish-e-yak-tār nafas ke
aur
diida nam
TukTukī bāñdhe
rāsta
tak rahe haiñ
qāsid kā
jaane kab
rihā.ī kā parvāna
aa.e gā
ghaTā.eñ
jhuum ke aatī haiñ
ghar ke
āñgan par
na pūchho
kaise ristī haiñ
khul bhī jaatī haiñ
par
ghaTā.eñ
kamre se
duur rahtī haiñ
sabza
dīvār se bāhar
lahaktā hai
kamre meñ
sirf
ek lamp
jaltā hai
maut aur
zindagī
ke darmiyāñ
fāsla bahut
lagtā hai
maiñ
maut ke ham-rāh
zindagī ke saath
mar rahī huuñ
ḳhāmoshī kī
aadat Daalo
sukūn mil
jaa.e gā
haañ
ḳhāmoshī
be-āvāz ḳhāmoshī
ek baar
alfāz ko
toḌ do
ma.anoñ ke
karb se
najāt mil jā.egā
saarī jañgeñ
aap hī aap
ruk jā.eñgī
mirī āñkhoñ
se ab
alfāz kī
būñdeñ Tapaktī haiñ
Tapakne do
Tapakne do
sahra-e-hasti
mein
ek chiz
aawara bhaTakti rahi
mar gai
pyas se
zard-ru
chaman mein
gard-o-ghubar
angDaiyan
le raha hai
KHushk patte
muntazir hain
jumbish-e-yak-tar nafas ke
aur
dida nam
TukTuki bandhe
rasta
tak rahe hain
qasid ka
jaane kab
rihai ka parwana
aae ga
ghaTaen
jhum ke aati hain
ghar ke
aangan par
na puchho
kaise risti hain
khul bhi jati hain
par
ghaTaen
kamre se
dur rahti hain
sabza
diwar se bahar
lahakta hai
kamre mein
sirf
ek lamp
jalta hai
maut aur
zindagi
ke darmiyan
fasla bahut
lagta hai
main
maut ke ham-rah
zindagi ke sath
mar rahi hun
KHamoshi ki
aadat Dalo
sukun mil
jae ga
han
KHamoshi
be-awaz KHamoshi
ek bar
alfaz ko
toD do
manon ke
karb se
najat mil jaega
sari jangen
aap hi aap
ruk jaengi
meri aankhon
se ab
alfaz ki
bunden Tapakti hain
Tapakne do
Tapakne do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.