nazm
sard havā darvāze par dastak detī hai
aur chaap kahīñ duur
dil ke andar ubharne lagtī hai
dhund meñ Duube shahr kī
vīrān saḌkoñ par
yādoñ ke hayūle
mire saath chahal-qadmī karte haiñ
Tuut jaane vaale
rābtoñ aur sūkhe gilāsoñ
meñ koī dukh to mushtarak rahā hogā
jo palkoñ aur hoñToñ ke biich jhūltā rahtā hai
dīvār-gīr ghaḌī meñ Thahre vaqt
saiñkaḌoñ kitāboñ
be-tahāshā kapḌoñ
aur
anginat jūtoñ meñ baTe vajūd ko
tartīb dete
sāñseñ ukhaḌtī haiñ
to sub.h kā alarm
be-tartīb ḳhvāboñ ke biich
musalsal shor karne lagtā hai
rāt-bhar jaage huoñ
ke liye baal banā kar
na.ī sub.h kā āġhāz
kitnā mushkil hotā hai
is kā andāza
ḳhudā
aur
Time-Table incharge
donoñ hī nahīñ lagā paate
aur dohrāne ke liye
hameñ phir se
pichhlā din sauñp dete haiñ
sard hawa darwaze par dastak deti hai
aur chap kahin dur
dil ke andar ubharne lagti hai
dhund mein Dube shahr ki
viran saDkon par
yaadon ke hayule
mere sath chahal-qadmi karte hain
Tut jaane wale
rabton aur sukhe gilason
mein koi dukh to mushtarak raha hoga
jo palkon aur honTon ke bich jhulta rahta hai
diwar-gir ghaDi mein Thahre waqt
sainkaDon kitabon
be-tahasha kapDon
aur
anginat juton mein baTe wajud ko
tartib dete
sansen ukhaDti hain
to subh ka alarm
be-tartib KHwabon ke bich
musalsal shor karne lagta hai
raat-bhar jage huon
ke liye baal bana kar
nai subh ka aaghaz
kitna mushkil hota hai
is ka andaza
KHuda
aur
Time-Table incharge
donon hi nahin laga pate
aur dohrane ke liye
hamein phir se
pichhla din saunp dete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.