nazm
chup rahūñgā to zabāñ yuuñ bhī rahegī bekār
aur boloñ to zabāñ kaaT hī lī jā.egī
kyuuñ na kuchh bol hī luuñ maiñ ki pas-e-qatl-e-zabāñ
ye to afsos na hogā ki zabāñ rahte hue
mujh ko iz.hār-e-ḳhayālāt kī jur.at na huī
mujh se is zulm-o-sitam kī bhī shikāyat na huī
chup rahunga to zaban yun bhi rahegi bekar
aur bolon to zaban kaT hi li jaegi
kyun na kuchh bol hi lun main ki pas-e-qatl-e-zaban
ye to afsos na hoga ki zaban rahte hue
mujh ko izhaar-e-KHayalat ki jurat na hui
mujh se is zulm-o-sitam ki bhi shikayat na hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.