nazm
tum kis ḳhvāhish kī mastī meñ
mere dukhoñ ko
apne dilāsoñ kī jholī meñ Daal sakoge
jhūTe dilāsoñ kī ye jholī
mere tund dukhoñ se chhalnī ho jā.egī
aur tere ye lave lave hāthoñ kī Dhāras
nafrat se kumhlā jā.egī
kaise khulegā terī bāñhoñ ke kundan meñ
merā ye sayyāl dukh aur mere sadme
tere badan ke in jiite sayyār sumoñ meñ
merā lahū kaise jāgegā
tum apne maḳhmūr laboñ ke
surḳh kafan se
kaise merī na.ash kā naqsha Dhāñp sakoge
kaise apne andeshoñ se
mere ḳhadshe bhāñp sakoge
tum kis KHwahish ki masti mein
mere dukhon ko
apne dilason ki jholi mein Dal sakoge
jhuTe dilason ki ye jholi
mere tund dukhon se chhalni ho jaegi
aur tere ye lawe lawe hathon ki Dhaaras
nafrat se kumhla jaegi
kaise khulega teri banhon ke kundan mein
mera ye sayyal dukh aur mere sadme
tere badan ke in jite sayyar sumon mein
mera lahu kaise jagega
tum apne maKHmur labon ke
surKH kafan se
kaise meri nash ka naqsha Dhanp sakoge
kaise apne andeshon se
mere KHadshe bhanp sakoge
- Book : meyaar (Pg. 64)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.