nazm
shaam Dhale to
mīloñ phailī ḳhushbū ḳhushbū ghaas meñ raste
aap bhaTakne lagte haiñ
zulf khule to maañg kā sandal
shauq-e-talab meñ
aap sulagne lagtā hai
shaam Dhale to
zulf khule to
lafzoñ in rastoñ par jugnū ban kar uḌnā
raah dikhānā
din nikle to
taaza dhuup kī chamkīlī poshāk pahan kar
mere saath galī kūchoñ meñ
lafzo manzil manzil chalnā
ham duniyā ko harf-o-sadā kī raushan shakleñ
phuul se taaza
ahd aur paimāñ dikhlā.eñge
dīvāroñ se gulzāroñ tak tanhā.ī kī
fasl ugī hai
din nikle to faiz-e-rifāqat
ham sab meñ taqsīm kareñge
sham Dhale to
milon phaili KHushbu KHushbu ghas mein raste
aap bhaTakne lagte hain
zulf khule to mang ka sandal
shauq-e-talab mein
aap sulagne lagta hai
sham Dhale to
zulf khule to
lafzon in raston par jugnu ban kar uDna
rah dikhana
din nikle to
taza dhup ki chamkili poshak pahan kar
mere sath gali kuchon mein
lafzo manzil manzil chalna
hum duniya ko harf-o-sada ki raushan shaklen
phul se taza
ahd aur paiman dikhlaenge
diwaron se gulzaron tak tanhai ki
fasl ugi hai
din nikle to faiz-e-rifaqat
hum sab mein taqsim karenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.