nazm
us ko
tārīḳh se āzādī dī ga.ī thī
vo itnā chalī
ki us kā
koī bhī nāḳhun nahīñ bachā
binā nāḳhun kī uñgliyāñ
bhaddī hī nahīñ be-kār ho jaatī haiñ
phir vo bahne lagī
aur bahtī rahī
apnī anant dhārā meñ
tārīḳh bahāv kī ḳhūb-sūratī kyā samajhtī
bāñdh bāñdhe
binā ye soche
ki saḌāñdh paidā ho jaane par
dam ghuT saktā hai
tārīḳh kī
maut vaaq.e ho saktī hai
us ko
tariKH se aazadi di gai thi
wo itna chali
ki us ka
koi bhi naKHun nahin bacha
bina naKHun ki ungliyan
bhaddi hi nahin be-kar ho jati hain
phir wo bahne lagi
aur bahti rahi
apni anant dhaara mein
tariKH bahaw ki KHub-surati kya samajhti
bandh bandhe
bina ye soche
ki saDandh paida ho jaane par
dam ghuT sakta hai
tariKH ki
maut waqe ho sakti hai
- Book : Man Baani (Pg. 484)
- Author : Dr. Shabnam Ashai
- Publication : Maktaba istiara 248, Gaffar Apartment, Gaffar Manzil istiara Lane, Jamia Nagar, Okhla (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.