nazm
aksar sochtī huuñ
vo
''maiñ'' ke vajūd kī khokhlāhaT thī
jis meñ
''tū'' kī āvāz gūñjtī thī
maiñ aur tū
gum-gashta zaat
par
baat ''maiñ'' aur ''tū'' kī kahāñ
merī aur terī hai
maiñ
jo merī kuchh nahīñ lagtī
aksar sochtī huuñ
shāyad
tumhārā ''tū'' bhī
tumhārā na thā
na jaane kitne sajdoñ kī tābānī
chaukhaT chaukhaT
baañT chukā thā
aur ḳhāmoshī kī chādar
Dhake
mujh ko
tak rahā thā
maiñ aksar sochtī huuñ
tū vo na thā
jise maiñ ne sochā thā
tū ne yā phir shāyad taqdīr ne
tujhe sar-tā-pā Dhak rakhā thā
aksar sochti hun
wo
main ke wajud ki khokhlahaT thi
jis mein
tu ki aawaz gunjti thi
main aur tu
gum-gashta zat
par
baat main aur tu ki kahan
meri aur teri hai
main
jo meri kuchh nahin lagti
aksar sochti hun
shayad
tumhaara tu bhi
tumhaara na tha
na jaane kitne sajdon ki tabani
chaukhaT chaukhaT
banT chuka tha
aur KHamoshi ki chadar
Dhake
mujh ko
tak raha tha
main aksar sochti hun
tu wo na tha
jise main ne socha tha
tu ne ya phir shayad taqdir ne
tujhe sar-ta-pa Dhak rakha tha
- Book : Man Baani (Pg. 328)
- Author : Dr. Shabnam Ashai
- Publication : Maktaba istiara 248, Gaffar Apartment, Gaffar Manzil istiara Lane, Jamia Nagar, Okhla (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.