nazm
tohfa meñ milī panting meñ
chāroñ mausam
sunahrī rañg se khīñche ga.e haiñ
aur yūñhī milī zindagī meñ
sirf ek mausam
āñsuoñ ke rañg se
khīñchā gayā hai
donoñ qaid haiñ
ek kamre meñ
panting sālim hai aur
zindagī se pūchhtī hai
tere baaqī mausam kahāñ haiñ
zindagī panting se kahtī hai
suno mujhe socho nahīñ
ulajh jāogī
maiñ sochne kī nahīñ
jiine kī chiiz huuñ
panting ḳhāmosh ho ke
dīvār pe laTak jaatī hai
tohfa mein mili panting mein
chaaron mausam
sunahri rang se khinche gae hain
aur yunhi mili zindagi mein
sirf ek mausam
aansuon ke rang se
khincha gaya hai
donon qaid hain
ek kamre mein
panting salim hai aur
zindagi se puchhti hai
tere baqi mausam kahan hain
zindagi panting se kahti hai
suno mujhe socho nahin
ulajh jaogi
main sochne ki nahin
jine ki chiz hun
panting KHamosh ho ke
diwar pe laTak jati hai
- Book : Man Baani (Pg. 444)
- Author : Dr. Shabnam Ashai
- Publication : Maktaba istiara 248, Gaffar Apartment, Gaffar Manzil istiara Lane, Jamia Nagar, Okhla (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.