nazm
tum ne jo roTī mujhe khilā.ī
vo merī soch aur faisla karne kī tāqat
mujh se chhīn kar tum ne ḳharīdī thī
jis chāhat ke chashme kā paanī
tum mujhe pilā rahe ho
mere jism kī āmādgī se phūTtā hai
merī tishna ruuh
merī nasoñ ko chaaT rahī hai
maiñ sikuḌ rahī huuñ
aur tumhārī ārzūoñ kī rageñ
kisī ḳhvāb ke nashe kī tarah
phail rahī haiñ
tum ne jo roTi mujhe khilai
wo meri soch aur faisla karne ki taqat
mujh se chhin kar tum ne KHaridi thi
jis chahat ke chashme ka pani
tum mujhe pila rahe ho
mere jism ki aamadgi se phuTta hai
meri tishna ruh
meri nason ko chaT rahi hai
main sikuD rahi hun
aur tumhaari aarzuon ki ragen
kisi KHwab ke nashe ki tarah
phail rahi hain
- Book : Man Baani (Pg. 80)
- Author : Dr. Shabnam Ashai
- Publication : Maktaba istiara 248, Gaffar Apartment, Gaffar Manzil istiara Lane, Jamia Nagar, Okhla (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.