nazm
mujhe
farār bharī jūtiyoñ ne pahan liyā
aur ek safar
ījād kiyā
mere saath
merī ḳhāmoshī hai
ik be-savādī hai
baaqī sab
ḳhvāb ishq vafā
nīndeñ
sab kuchh jagīr-dārī ke
kone khudroñ meñ
paḌe hue haiñ
ḳhāmoshī ke dāman se
vafā kā dāman baḌā hotā hai
pairoñ ke chhāle paḌne par
vafā kī talab baḌhtī hai
maiñ mor kī mānind
apne pair dekh kar
rotī huuñ
mere qadam
mujhe vāpas kar do
intiqāl se pahle
maiñ apnā dil
kahīñ bo denā chāhtī huuñ
mujhe
farar bhari jutiyon ne pahan liya
aur ek safar
ijad kiya
mere sath
meri KHamoshi hai
ek be-sawadi hai
baqi sab
KHwab ishq wafa
ninden
sab kuchh jagir-dari ke
kone khudron mein
paDe hue hain
KHamoshi ke daman se
wafa ka daman baDa hota hai
pairon ke chhaale paDne par
wafa ki talab baDhti hai
main mor ki manind
apne pair dekh kar
roti hun
mere qadam
mujhe wapas kar do
intiqal se pahle
main apna dil
kahin bo dena chahti hun
- Book : Catharsis (Pg. 372)
- Author : Dr. Shabnam Ashai
- Publication : Istiarah Publications, New Delhi (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.