nazm
mere dukhoñ kī guuñj
tumhārī āvāz se surīlī hai
tumhārī goyā.ī ab lauTī hai
jab man ke saaz sajā.e the maiñ ne
ki tum bolo to dhun ban jaa.e
zindagī ek giit ban jaa.e
tum taġhāful meñ paḌe rahe
tumhārī āvāz kī aarzū meñ
maiñ ne abhī tak
apne safar kā āġhāz nahīñ kiyā
lekin be-shumār dukh
merī jaan se guzarte rahe
raqs karte rahe
aur vo dard bhī jo merī hamshīra ne
zab.h hote hue
merī ā.ankhoñ meñ rakh diyā thā
jab se
dukh jī rahī huuñ
maiñ tumhāre mansūbe kyā
ḳhvāb bhī nahīñ jī saktī
mere dukhon ki gunj
tumhaari aawaz se surili hai
tumhaari goyai ab lauTi hai
jab man ke saz sajae the main ne
ki tum bolo to dhun ban jae
zindagi ek git ban jae
tum taghaful mein paDe rahe
tumhaari aawaz ki aarzu mein
main ne abhi tak
apne safar ka aaghaz nahin kiya
lekin be-shumar dukh
meri jaan se guzarte rahe
raqs karte rahe
aur wo dard bhi jo meri hamshira ne
zabh hote hue
meri aaankhon mein rakh diya tha
jab se
dukh ji rahi hun
main tumhaare mansube kya
KHwab bhi nahin ji sakti
- Book : Man Baani (Pg. 182)
- Author : Dr. Shabnam Ashai
- Publication : Maktaba istiara 248, Gaffar Apartment, Gaffar Manzil istiara Lane, Jamia Nagar, Okhla (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.