nazm
maiñ bachpan meñ
do qalam ek saath māñgtī thī
mere daadā ḳhush ho jaate
aur merī maañ bhī muskurātī
pāpā, naanā banñe se pahle
bachchoñ ke khel meñ dilchaspī nahiñ lete
maiñ do do hāthoñ se lakīreñ kheñchtī
ek din mere hāthoñ
aurat ban ga.ī
jas ke haath pair hī nahiñ
dil aur dimāġh bhī dukh rahe the
phir is kī tahzīb karne meñ
merī chhattīs rāteñ guzar ga.iiñ
saiñtīsvīñ raat
paapā mere khel meñ sharīk hue
muḌe-tuḌe kāġhaz jaise
us aurat ko
apnī jeb meñ Thūñs liyā
maiñ malāl meñ
apne donoñ qalam toḌ baiThī
ab aurat nahiñ
phuul banā.ūñgī
kāġhzī phuul
jinheñ na kahīñ miTī kī zarūrat
na havā raushnī aur paanī kī muhtāj ho
phir jo jahāñ chāhe
unheñ rakh de
yā sajā de
main bachpan mein
do qalam ek sath mangti thi
mere dada KHush ho jate
aur meri man bhi muskuraati
papa, nana banne se pahle
bachchon ke khel mein dilchaspi nahin lete
main do do hathon se lakiren khenchti
ek din mere hathon
aurat ban gai
jas ke hath pair hi nahin
dil aur dimagh bhi dukh rahe the
phir is ki tahzib karne mein
meri chhattis raaten guzar gain
saintiswin raat
papa mere khel mein sharik hue
muDe-tuDe kaghaz jaise
us aurat ko
apni jeb mein Thuns liya
main malal mein
apne donon qalam toD baiThi
ab aurat nahin
phul banaungi
kaghzi phul
jinhen na kahin miTi ki zarurat
na hawa raushni aur pani ki muhtaj ho
phir jo jahan chahe
unhen rakh de
ya saja de
- Book : Man Baani (Pg. 188)
- Author : Dr. Shabnam Ashai
- Publication : Maktaba istiara 248, Gaffar Apartment, Gaffar Manzil istiara Lane, Jamia Nagar, Okhla (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.