nazm
suno
kyā sach-much
nahiñ bulāoge mujhe
tumhāre ġhāzī se
maiñ ne kahā thā
maut kā intizār kar rahī huuñ
vo kah rahā thā
maut
mujh jaise bad-kāroñ ko aatī nahiñ
tum to sabhī ko bulāte ho
mujhe maut kyuuñ nahiñ aa.egī
maulā
tum nai jo jahannam bhī banā.ī hai
maiñ
tumhāre bandoñ kī banā.ī hui
jannat meñ
kab tak Thahrūñ?
suno
kya sach-much
nahin bulaoge mujhe
tumhaare ghazi se
main ne kaha tha
maut ka intizar kar rahi hun
wo kah raha tha
maut
mujh jaise bad-karon ko aati nahin
tum to sabhi ko bulate ho
mujhe maut kyun nahin aaegi
maula
tum nai jo jahannam bhi banai hai
main
tumhaare bandon ki banai hui
jannat mein
kab tak Thahrun?
- Book : Man Baani (Pg. 464)
- Author : Dr. Shabnam Ashai
- Publication : Maktaba istiara 248, Gaffar Apartment, Gaffar Manzil istiara Lane, Jamia Nagar, Okhla (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.