Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nazm

MORE BYImran Shamshad Narmi

    soch rahā huuñ kyā tohfa duuñ

    shab ke peḌ se chāñd Tahnī toḌ ke lā.ūñ

    sūraj hañstī huī painting kar tumheñ hañsā.ūñ

    nuurī barsoñ se aage DhūñD ke lā.ūñ nayā sitāra

    niilā niilā harā samundar pack karvā duuñ

    rang-birange pathroñ vaalā lā.ūñ kināra

    DhūñD nikālūñ gahre samundar se koī nāyāb ḳhazāna

    gōgle par search karūñ maiñ happy birthday vaalā gaanā

    office se vāpsī par le aa.uuñ khilaunoñ-bharī dūkān

    koī hiirā koī motī koī marjān

    e f u insurance policy le luuñ biis baras

    phir port grand gaming zone uThā kar ghar le aa.uuñ

    do pahiyoñ vaalī cycle puuñ puuñ karne vaalī cycle

    chhoTī pyārī ik guḌiyā lā.ūñ aur apnī guḌiyā ko thamā.ūñ

    soch rahā huuñ kyā tohfa duuñ

    soch raha hun kya tohfa dun

    shab ke peD se chand ki Tahni toD ke laun

    ya suraj ki hansti hui si painting la kar tumhein hansaun

    ya nuri barson se aage DhunD ke laun naya sitara

    nila nila hara samundar pack karwa dun

    rang-birange pathron wala laun kinara

    DhunD nikalun gahre samundar se koi nayab KHazana

    ya google par search karun main happy birthday wala gana

    ya office se wapsi par le aaun khilaunon-bhari dukan

    ya koi hira ya koi moti ya koi marjaan

    e f u ki insurance policy le lun bis baras ki

    ya phir port grand ka gaming zone uTha kar ghar le aaun

    ya do pahiyon wali cycle pun pun karne wali cycle

    ya chhoTi si pyari si ek guDiya laun aur apni guDiya ko thamaun

    soch raha hun kya tohfa dun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now