nazm
suno ki shāyad ye nūr-e-saiqal
hai us sahīfe kā harf-e-avval
jo har kas-o-nākas-e-zamīñ par
dil-e-gadāyān-e-ajma.īñ par
utar rahā hai falak se ab ke
suno ki is harf-e-lam-yazal ke
hamīñ tumhīñ bandagān-e-be-bas
'alīm bhī haiñ ḳhabīr bhī haiñ
suno ki ham be-zabān-o-bekas
bashīr bhī haiñ nazīr bhī haiñ
har ik ūlul-amr ko sadā do
ki apnī fard-e-amal sambhāle
uThegā jab jām-e-sarfaroshāñ
paḌeñge dār-o-rasan ke laale
koī na hogā ki jo bachā le
jazā sazā sab yahīñ pe hogī
yahīñ azāb-o-savāb hogā
yahīñ pe roz-e-hisāb hogā
suno ki shayad ye nur-e-saiqal
hai us sahife ka harf-e-awwal
jo har kas-o-nakas-e-zamin par
dil-e-gadayan-e-ajmain par
utar raha hai falak se ab ke
suno ki is harf-e-lam-yazal ke
hamin tumhin bandagan-e-be-bas
'alim bhi hain KHabir bhi hain
suno ki hum be-zaban-o-bekas
bashir bhi hain nazir bhi hain
har ek ulul-amr ko sada do
ki apni fard-e-amal sambhaale
uThega jab jam-e-sarfaroshan
paDenge dar-o-rasan ke lale
koi na hoga ki jo bacha le
jaza saza sab yahin pe hogi
yahin azab-o-sawab hoga
yahin pe roz-e-hisab hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.