nazm
Tapak rahā hai lahū sar pe āsmānoñ kā
jabīñ pe vaqt ke panjoñ kī kuchh ḳharāsheñ haiñ
jamī huī hai laboñ par sukūt kī papḌī
dhadhak rahī hai ajab sī ik aag āñkhoñ meñ
dabe haiñ sīna-e-jāñ meñ ujaaḌ sannāTe
dayār-e-dil meñ sisakte haiñ be-sadā raste
jhuke hue mere shānoñ pe bojh hai ġham kā
maiñ Dho rahā huuñ kamar pe sitam ke mashkīze
shikam kī aag bhaḌaktī hai barq kī mānind
ragoñ meñ ḳhuun kī gardish hai yā qayāmat hai
havā ne khol diye band-e-pairahan saare
phisal ke gir ga.ī zaanū se ishq kī chādar
vo jis nasīb ne baḳhshī thī shohratoñ kī amaañ
usī nasīb ko ghuTnoñ pe le ke baiThā huuñ
maiñ apne paañv ke chhāloñ ko kis tarah dekhūñ
sakat nahīñ hai mujhe beḌiyāñ uThāne kī
koī charāġh-e-ta'alluq bhī ab nahīñ baaqī
maiñ ḳhāl-o-ḳhad ke añdheroñ meñ qaid huuñ kab se
khaḌī hai duur kahīñ jā ke merī bīnā.ī
utar rahā hai badan par azāb-e-tanhā.ī
Tapak raha hai lahu sar pe aasmanon ka
jabin pe waqt ke panjon ki kuchh KHarashen hain
jami hui hai labon par sukut ki papDi
dhadhak rahi hai ajab si ek aag aankhon mein
dabe hain sina-e-jaan mein ujaD sannaTe
dayar-e-dil mein sisakte hain be-sada raste
jhuke hue mere shanon pe bojh hai gham ka
main Dho raha hun kamar pe sitam ke mashkize
shikam ki aag bhaDakti hai barq ki manind
ragon mein KHun ki gardish hai ya qayamat hai
hawa ne khol diye band-e-pairahan sare
phisal ke gir gai zanu se ishq ki chadar
wo jis nasib ne baKHshi thi shohraton ki aman
usi nasib ko ghuTnon pe le ke baiTha hun
main apne panw ke chhaalon ko kis tarah dekhun
sakat nahin hai mujhe beDiyan uThane ki
koi charagh-e-ta'alluq bhi ab nahin baqi
main KHal-o-KHad ke andheron mein qaid hun kab se
khaDi hai dur kahin ja ke meri binai
utar raha hai badan par azab-e-tanhai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.