nazm
Interesting Fact
A Nazm dedicated to celebrated Indian actress Swara Bhaskar.
tire puure badan par ik muqaddas aag kā pahra hai
jo terī taraf baḌhte hue hāthoñ ke nāḳhun rok letā hai
tire hoñToñ se nikle saañs kī ḳhushbū
dar-o-dīvār se rasta banā kar saare barr-e-'āzamoñ meñ phail saktī hai
tirī bāñheñ abad ko jaane vaalī shāhrāheñ haiñ
tirī dā.īñ hathelī kī lakīreñ dūsrī duniyāoñ ke naqshe haiñ jo in munshiyoñ ke bas se bāhar haiñ
tirī āñkheñ nahīñ ye devtāoñ kī panah-gāheñ haiñ
jin meñ vaqt jaise zahr kā tiryāq hai
tirī zulfoñ kī vus'at is jahāñ kī intihāoñ se pare tak hai
tirī gardan kisī jannat ke pākīza daraḳhtoñ ke tane ko dekh kar tarshī ga.ī hai
hamāre jism par se terī parchhā.ī guzar jaa.e
to mumkin hai ki ham is maut jaise ḳhauf se āzād ho jaa.eñ
hamāre paas aisā kyā hai jo tujh ko batā kar ham tujhe qaa.il kareñ
bas itnā hai ki apne lafz barsā kar tirī chhatrī pe bārish pheñk deñge
yā tire chehre pe apnī nazm kī ik satr se chhāñv kareñge
dhuup de deñge
magar kyā fā.eda is kā ki mausam ḳhud tire jūtoñ ke tasmoñ se bañdhe haiñ
tire hamrāh chalne kī koī ḳhvāhish agar dil meñ kabhī thī bhī
to ham ne tark kar dī hai
ham is laa.iq nahīñ haiñ
hameñ mā'lūm hai ki agle vaqtoñ meñ ye log
tire pairoñ ke sāñchoñ se na.ī samtoñ ke andāze lagā.eñge
tere pure badan par ek muqaddas aag ka pahra hai
jo teri taraf baDhte hue hathon ke naKHun rok leta hai
tere honTon se nikle sans ki KHushbu
dar-o-diwar se rasta bana kar sare barr-e-'azamon mein phail sakti hai
teri banhen abad ko jaane wali shahrahen hain
teri dain hatheli ki lakiren dusri duniyaon ke naqshe hain jo in munshiyon ke bas se bahar hain
teri aankhen nahin ye dewtaon ki panah-gahen hain
jin mein waqt jaise zahr ka tiryaq hai
teri zulfon ki wus'at is jahan ki intihaon se pare tak hai
teri gardan kisi jannat ke pakiza daraKHton ke tane ko dekh kar tarshi gai hai
hamare jism par se teri parchhai guzar jae
to mumkin hai ki hum is maut jaise KHauf se aazad ho jaen
hamare pas aisa kya hai jo tujh ko bata kar hum tujhe qail karen
bas itna hai ki apne lafz barsa kar teri chhatri pe barish phenk denge
ya tere chehre pe apni nazm ki ek satr se chhanw karenge
dhup de denge
magar kya faeda is ka ki mausam KHud tere juton ke tasmon se bandhe hain
tere hamrah chalne ki koi KHwahish agar dil mein kabhi thi bhi
to hum ne tark kar di hai
hum is laiq nahin hain
hamein ma'lum hai ki agle waqton mein ye log
tere pairon ke sanchon se nai samton ke andaze lagaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.