nazm
tum chāk-garebāñ ho ham bhī tahī-dāmāñ haiñ
tum ham se gurezāñ ho ham tum se gurezāñ haiñ
tum nok-e-qalam jānāñ ik nazm-e-fuġhāñ likkho
jo bol na paao vo sab harf-e-nihāñ likkho
kuchh harf-e-duā likho kuchh bahr-e-ḳhudā likho
jo naqsh hue dil par vo naqsh-e-vafā likho
phir yaad karoge tum jab paas na ho.egī
āġhosh-e-lahad meñ jab dam-sāz ye so.egī
dohrāoge sab bāteñ jo tum se kahā kartī
jo suntī tumhārī bhī kuchh apnī kahā kartī
ilzām bhī tum doge phir gardish-e-daurāñ ko
aur yaad karoge is ḳhāmosh nigahbāñ ko
tum chaak-gareban ho hum bhi tahi-daman hain
tum hum se gurezan ho hum tum se gurezan hain
tum nok-e-qalam jaanan ek nazm-e-fughan likkho
jo bol na pao wo sab harf-e-nihan likkho
kuchh harf-e-dua likho kuchh bahr-e-KHuda likho
jo naqsh hue dil par wo naqsh-e-wafa likho
phir yaad karoge tum jab pas na hoegi
aaghosh-e-lahad mein jab dam-saz ye soegi
dohraoge sab baaten jo tum se kaha karti
jo sunti tumhaari bhi kuchh apni kaha karti
ilzam bhi tum doge phir gardish-e-dauran ko
aur yaad karoge is KHamosh nigahban ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.