nazm
tum ne mujhe itnī baar miTā diyā hai
ki ab maiñ
binā kisī chehre ke
jī saktī huuñ
lekin koī mujassama nahīñ ban saktī
agar ek baar bhī
tum mujhe
paḌhne ke ba.ad miTāte
maiñ dukh tarāshne kī mashq
nahīñ dohrātī
tum dūsroñ ko
dukh dene kī sarshārī meñ
jī sakte ho
maiñ bahut saare dukh tarāsh kar
koī mujassama banā saktī huuñ
ek baar
ek dukh kī dukhan
tum bhī le lo
mujhe kisī
dukh kā chehra banāte hue
likh lo
tum ne mujhe itni bar miTa diya hai
ki ab main
bina kisi chehre ke
ji sakti hun
lekin koi mujassama nahin ban sakti
agar ek bar bhi
tum mujhe
paDhne ke baad miTate
main dukh tarashne ki mashq
nahin dohraati
tum dusron ko
dukh dene ki sarshaari mein
ji sakte ho
main bahut sare dukh tarash kar
koi mujassama bana sakti hun
ek bar
ek dukh ki dukhan
tum bhi le lo
mujhe kisi
dukh ka chehra banate hue
likh lo
- Book : Man Baani (Pg. 412)
- Author : Dr. Shabnam Ashai
- Publication : Maktaba istiara 248, Gaffar Apartment, Gaffar Manzil istiara Lane, Jamia Nagar, Okhla (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.