tumhārī qurbat meñ biitā vaqfa
ḳhumār ban kar mire tanaffus meñ be-tahāsha mahak rahā hai
tumhārī sāda-dilī ne dil kī tamām duniyā pe hashr barpā kiyā huā hai
kisī bhī jānib nazar uThā.ūñ
tumhārī gahrī chamaktī āñkhoñ kā aks
merī udaas āñkhoñ meñ kauñdtā hai
ye aks sach bhī hai ḳhvāb bhī hai
ye aks misl-e-sarāb bhī hai
maiñ is tamāshe se tang aakar jo apnī palkoñ pe haath rakh luuñ to dekhtī huuñ
ki lams ab tak tumhāre hāthoñ kā mere hāthoñ kī uñgliyoñ se guthā huā hai
ye lams ātish hai aab bhī hai
ye lams misl-e-azāb bhī hai
mujhe ḳhabar hai ki merī vahshat haq aur bātil kī ain sarhad pe aa rukī hai
mirī mohabbat ke paak dāman pe daaġh lagne meñ bas ek nuqte kī hī kamī hai
aur aisī nāzuk ghaḌī meñ jab ki ghaḌī kī sāñseñ bhī
apnā rastā bhaTak rahī haiñ mujhe pata hai
ki meñ jo bhaTkī rah-e-vafā se
to phir jahāñ meñ sivā fareboñ ke kyā bachegā
kahāñ bachegī koī sadāqat
koī bharosa kahāñ bachegā
so chāhtī huuñ
ye saarā vaqfa jo mujh ko ḳhvāboñ sā lag rahā hai vo ḳhvāb hī ho
ye saarā vaqfa ki jis pe sach kā vahm hai mujh ko sarāb hī ho
tumhaari qurbat mein bita waqfa
KHumar ban kar mere tanaffus mein be-tahasha mahak raha hai
tumhaari sada-dili ne dil ki tamam duniya pe hashr barpa kiya hua hai
kisi bhi jaanib nazar uThaun
tumhaari gahri chamakti aankhon ka aks
meri udas aankhon mein kaundta hai
ye aks sach bhi hai KHwab bhi hai
ye aks misl-e-sarab bhi hai
main is tamashe se tang aakar jo apni palkon pe hath rakh lun to dekhti hun
ki lams ab tak tumhaare hathon ka mere hathon ki ungliyon se gutha hua hai
ye lams aatish hai aab bhi hai
ye lams misl-e-azab bhi hai
mujhe KHabar hai ki meri wahshat haq aur baatil ki ain sarhad pe aa ruki hai
meri mohabbat ke pak daman pe dagh lagne mein bas ek nuqte ki hi kami hai
aur aisi nazuk ghaDi mein jab ki ghaDi ki sansen bhi
apna rasta bhaTak rahi hain mujhe pata hai
ki mein jo bhaTki rah-e-wafa se
to phir jahan mein siwa farebon ke kya bachega
kahan bachegi koi sadaqat
koi bharosa kahan bachega
so chahti hun
ye sara waqfa jo mujh ko KHwabon sa lag raha hai wo KHwab hi ho
ye sara waqfa ki jis pe sach ka wahm hai mujh ko sarab hi ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.