tumheñ mujh se mohabbat ho
aur is darja mohabbat ho
ki mere bin tumhārī zindagānī dard ho jaa.e
zarā jo ro paḌūñ maiñ to
tumhāre qahqahoñ kā rang dhul kar zard ho jaa.e
tumheñ mujh se mohabbat ho
aur is had tak mohabbat ho
ki mere naam kī ḳhushbū tumhārī be-sukūñ nīñdoñ kā ghar ābād kartī ho
vo merī yaad kī chādar lipaT kar tum se tum ko
ziist ke be-zār-kun ma.amūl se āzād kartī ho
tumheñ mujh se mohabbat ho
aur is tarah mohabbat ho
tumhāre gird
tum ko har ghaḌī maiñ hī dikhā.ī duuñ
tumhārā aa.ina maiñ huuñ
tumhārā vaqt bhī maiñ huuñ
koī āvāz gūñje
saaz gūñje yā koī sargam
tumheñ har ik
navā-e-nau meñ
bas maiñ hī sunā.ī duuñ
tumheñ mujh se mohabbat ho
mohabbat hī mohabbat ho
ye kahnā chāhtī huuñ maiñ
magar phir ḳhauf aatā hai
ki gar jo pūchh baiThe tum
ki mujh ko bhī to tum se Thiik aisī hī mohabbat honī chāhiye na
mere dil ko bhī tum se be-tahāshā chāh-o-raġhbat honī chāhiye na
to is pe kyā kahūñgī maiñ
koī be-rabt sā jumla
koī uljhā huā fiqra
nahīñ kuchh bhī nahīñ is par
javāban chup rahūñgī maiñ
ki merī jaan kuchh jazbe
zabāñ kā saath chāhe bin
faqat bhīgī huī āñkhoñ se jhalkeñ to hī behtar hai
aur aañsū nā-rasā.ī ke
zamāne kī nazar se duur tanhā
añdherī raat kī bāñhoñ meñ chhalkeñ to hī behtar hai
tumhein mujh se mohabbat ho
aur is darja mohabbat ho
ki mere bin tumhaari zindagani dard ho jae
zara jo ro paDun main to
tumhaare qahqahon ka rang dhul kar zard ho jae
tumhein mujh se mohabbat ho
aur is had tak mohabbat ho
ki mere nam ki KHushbu tumhaari be-sukun nindon ka ghar aabaad karti ho
wo meri yaad ki chadar lipaT kar tum se tum ko
zist ke be-zar-kun mamul se aazad karti ho
tumhein mujh se mohabbat ho
aur is tarah mohabbat ho
tumhaare gird
tum ko har ghaDi main hi dikhai dun
tumhaara aaina main hun
tumhaara waqt bhi main hun
koi aawaz gunje
saz gunje ya koi sargam
tumhein har ek
nawa-e-nau mein
bas main hi sunai dun
tumhein mujh se mohabbat ho
mohabbat hi mohabbat ho
ye kahna chahti hun main
magar phir KHauf aata hai
ki gar jo puchh baiThe tum
ki mujh ko bhi to tum se Thik aisi hi mohabbat honi chahiye na
mere dil ko bhi tum se be-tahasha chah-o-raghbat honi chahiye na
to is pe kya kahungi main
koi be-rabt sa jumla
koi uljha hua fiqra
nahin kuchh bhi nahin is par
jawaban chup rahungi main
ki meri jaan kuchh jazbe
zaban ka sath chahe bin
faqat bhigi hui aankhon se jhalken to hi behtar hai
aur aansu na-rasai ke
zamane ki nazar se dur tanha
andheri raat ki banhon mein chhalken to hi behtar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.