nazm
tū kuchh bhī kah le magar mujh ko e.atibār nahīñ
ki dil ko mere kisī taur ab qarār nahīñ
uThā le tū bhale jhūTī hazār bhī qasmeñ
mujhe yaqīn hai ab tujh ko mujh se pyaar nahīñ
bajā ki tujh ko mohabbat thī mujh se ab to nahīñ
ye be-qarārī-e-dil merī be-sabab to nahīñ
jo aa rahe haiñ taġhayyur tumhārī zaat meñ vo
mire mizāj meñ aa jaa.eñ kuchh ajab to nahīñ
tirā kahā bhī chalo maan hī liyā lekin
ki maiñ ne vahm kiyā vahm hī kiyā lekin
nahīñ kiyā maiñ ne mahsūs merī ġhalatī hai
hai tū ne mujh se bahut pyaar hī kiyā lekin
hai jitnī baar tasallī ye dil ko dī maiñ ne
mirā ye dil ki kisī taur māntā hī nahīñ
bigaḌ gayā hai kisī tifl-e-nā-samajh kī tarah
kisī dalīl ko mantiq ko jāntā hī nahīñ
hai ek zid ki nahīñ jiinā ab nahīñ jiinā
zahr hayāt kā ab aur din nahīñ piinā
ab ehtijāj hai karnā bhale sazā hī mile
zabāñ ko zabt kī sozan se ab nahīñ siinā
tu kuchh bhi kah le magar mujh ko eatibar nahin
ki dil ko mere kisi taur ab qarar nahin
uTha le tu bhale jhuTi hazar bhi qasmen
mujhe yaqin hai ab tujh ko mujh se pyar nahin
baja ki tujh ko mohabbat thi mujh se ab to nahin
ye be-qarari-e-dil meri be-sabab to nahin
jo aa rahe hain taghayyur tumhaari zat mein wo
mere mizaj mein aa jaen kuchh ajab to nahin
tera kaha bhi chalo man hi liya lekin
ki main ne wahm kiya wahm hi kiya lekin
nahin kiya main ne mahsus meri ghalati hai
hai tu ne mujh se bahut pyar hi kiya lekin
hai jitni bar tasalli ye dil ko di main ne
mera ye dil ki kisi taur manta hi nahin
bigaD gaya hai kisi tifl-e-na-samajh ki tarah
kisi dalil ko mantiq ko jaanta hi nahin
hai ek zid ki nahin jina ab nahin jina
zahr hayat ka ab aur din nahin pina
ab ehtijaj hai karna bhale saza hi mile
zaban ko zabt ki sozan se ab nahin sina
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.