nazm
udāsiyoñ ne
man ke girdā-gird
ik dhuāñ sā lapeT diyā hai
kaalā dhuāñ rūpahlā dhuāñ
dhuveñ meñ kuchh soz hai
chhoTe rishtoñ kī sadā kā
dhuveñ meñ kuchh nuur hai
parā.e apnoñ ke chehroñ kā
soz-o-nūr kī dhund meñ
jigar apnī āñkheñ muuñd rahā hai
.....maiñ
man bhar dhuāñ pī letī huuñ
kisī chārasāz kī hājat nahīñ
gaatī huuñ.....
udasiyon ne
man ke girda-gird
ek dhuan sa lapeT diya hai
kala dhuan rupahla dhuan
dhuwen mein kuchh soz hai
chhoTe rishton ki sada ka
dhuwen mein kuchh nur hai
parae apnon ke chehron ka
soz-o-nur ki dhund mein
jigar apni aankhen mund raha hai
main
man bhar dhuan pi leti hun
kisi chaarasaz ki hajat nahin
gati hun
- Book : Man Me'n Jami Barf (Pg. 79)
- Author : Dr. Shabnam Ishai
- Publication : Arshia Publications, Delhi (2013)
- Edition : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.