nazm
us se kahnā
mirī zindagānī meñ bas rā.igānī rahī
jitne manzar mirī aañkh meñ terī sūrat se ḳhālī ga.e rā.egāñ
jitnī rāteñ tirī yaad se baaz rah kar guzārī ga.iiñ rā.egāñ
jitnī nīñdeñ pare tere ḳhvāboñ se thiiñ ratjagoñ se ziyāda girāñ
terā milnā faqat hāsil-e-zīst Thahrā
tirī ḳhair ho
varna sab jitnī sāñseñ bharī is safar meñ
tirā haath hāthoñ meñ jab jab nahīñ thā
vo sab rā.egāñ
us se kahnā ki ham terī rāhoñ meñ zarra barābar bhī na ban sake
un ko sohbat mayassar hai qadmoñ kī tere magar haa.e ham
qissa al-muḳhtasar
zindagānī faqat rā.egānī
us se kahna
meri zindagani mein bas raigani rahi
jitne manzar meri aankh mein teri surat se KHali gae raegan
jitni raaten teri yaad se baz rah kar guzari gain raegan
jitni ninden pare tere KHwabon se thin ratjagon se ziyaada giran
tera milna faqat hasil-e-zist Thahra
teri KHair ho
warna sab jitni sansen bhari is safar mein
tera hath hathon mein jab jab nahin tha
wo sab raegan
us se kahna ki hum teri rahon mein zarra barabar bhi na ban sake
un ko sohbat mayassar hai qadmon ki tere magar hae hum
qissa al-muKHtasar
zindagani faqat raegani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.