vāhimoñ kī kokh se paidā hue
kuchh aqīdoñ aur purāne maz.haboñ ke silsile
sub.h-dam sūraj kahāñ se aa.e hai
shaam hote hī kahāñ chhup jaa.e hai
aur shab par aa.e hai kaise shabāb
āsmāñ meñ kaise āvezāñ hai qurs-e-māhtāb
tīra-rātoñ meñ kahāñ kho jaa.e hai
kis tarah aatī hai barkhā kī bahār
kis tarah girte haiñ gaale barf ke
aadmī anjān thā hairān thā
aur ye sharmīle raaz
jo azal se haiñ diloñ meñ jāguzīñ
kis tarah paidā hue
raaz be-ḳhabarī surūr
in se maz.hab kā huā āhista āhista zuhūr
chār-sū thī gumrahī hī gumrahī
dil-nashīñ sangīt meñ lipTī rahī kam-āgahī
kis ne sochā thā ḳhudā kā hai vajūd
voltaire ne kahā
is zamīñ par pahlā shātir pahle ahmaq se milā to
mā’rifat paidā huī
band ho kar rah ga.ī thī phir diloñ kī bhī zabāñ
ruk gayā thā aarzū kā kārvāñ
'aql ke vo jhilmilāte silsile
ab kahīñ bhī dahr meñ shāyad na the
dard-e-dil pairoñ tale rauñdā gayā
garm thī itnī zamāne kī havā
ruuh ne phir ruuh ko hairāñ kiyā
ātishīñ jazbāt bhaḌkā.e ga.e
aaj tak oḌhe hue haiñ ham zamīroñ ke kafan
nāchtā hai sar pe maz.hab kā junūñ
ḳhūn-ālūda hai har ik pairahan
silsila-dar-silsila tārīkiyāñ baḌhtī ga.iiñ
raushnī afkār kī maddham huī
vo jo ik hasrat javāñ thī ek dilkash sī ravānī kī tarah
āḳhirash thak haar kar so hī ga.ī
ab zarūrat hai zamāne kī yahī
gungunā.e kuchh fazā meñ ek dilbar āgahī
haañ agar tū hai to ai rabb-e-karīm
soch ho dil meñ muqīm
phir na maz.hab zehn par chhā.e kabhī
khoTā sikka phir na chal paa.e kabhī
ho yaqīnan rūnumā
jhanjhanā.e āgahī
ādamiyyat kā nirālā silsila
soch kī bālīdgī se ḳhush-adā ho zindagī
ḳhushnumā ho zindagī
wahimon ki kokh se paida hue
kuchh aqidon aur purane mazhabon ke silsile
subh-dam suraj kahan se aae hai
sham hote hi kahan chhup jae hai
aur shab par aae hai kaise shabab
aasman mein kaise aawezan hai qurs-e-mahtab
tira-raaton mein kahan kho jae hai
kis tarah aati hai barkha ki bahaar
kis tarah girte hain gale barf ke
aadmi anjaan tha hairan tha
aur ye sharmile raaz
jo azal se hain dilon mein jaguzin
kis tarah paida hue
raaz be-KHabari surur
in se mazhab ka hua aahista aahista zuhur
chaar-su thi gumrahi hi gumrahi
dil-nashin sangit mein lipTi rahi kam-agahi
kis ne socha tha KHuda ka hai wajud
woltaire ne kaha
is zamin par pahla shatir pahle ahmaq se mila to
ma’rifat paida hui
band ho kar rah gai thi phir dilon ki bhi zaban
ruk gaya tha aarzu ka karwan
'aql ke wo jhilmilate silsile
ab kahin bhi dahr mein shayad na the
dard-e-dil pairon tale raunda gaya
garm thi itni zamane ki hawa
ruh ne phir ruh ko hairan kiya
aatishin jazbaat bhaDkae gae
aaj tak oDhe hue hain hum zamiron ke kafan
nachta hai sar pe mazhab ka junun
KHun-aluda hai har ek pairahan
silsila-dar-silsila tarikiyan baDhti gain
raushni afkar ki maddham hui
wo jo ek hasrat jawan thi ek dilkash si rawani ki tarah
aaKHirash thak haar kar so hi gai
ab zarurat hai zamane ki yahi
gungunae kuchh faza mein ek dilbar aagahi
han agar tu hai to ai rabb-e-karim
soch ho dil mein muqim
phir na mazhab zehn par chhae kabhi
khoTa sikka phir na chal pae kabhi
ho yaqinan runuma
jhanjhanae aagahi
aadamiyyat ka nirala silsila
soch ki baalidgi se KHush-ada ho zindagi
KHushnuma ho zindagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.