nazm
vajūd ke jo hisse
vajūd kī talāsh meñ kho jaate haiñ
un kā indirāj
zindagī kī kisī bhī file meñ nahīñ miltā
haañ un nazmoñ meñ
jo āñsuoñ kī raushnā.ī se
likhī ga.ī hoñ
vo hisse baste haiñ
lekin phir hameñ tārīkī ko
apnā nasheman banānā paḌtā hai
is raaz se zindagī nahīñ
vajūd vāqif hai
aur ham
vajūd nahīñ
zindagī jiite haiñ
wajud ke jo hisse
wajud ki talash mein kho jate hain
un ka indiraj
zindagi ki kisi bhi file mein nahin milta
han un nazmon mein
jo aansuon ki raushnai se
likhi gai hon
wo hisse baste hain
lekin phir hamein tariki ko
apna nasheman banana paDta hai
is raaz se zindagi nahin
wajud waqif hai
aur hum
wajud nahin
zindagi jite hain
- Book : Man Baani (Pg. 384)
- Author : Dr. Shabnam Ashai
- Publication : Maktaba istiara 248, Gaffar Apartment, Gaffar Manzil istiara Lane, Jamia Nagar, Okhla (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.