nazm
vo shaḳhs ḳhizāñ ke mausam meñ
aksar ik shaḳhs ḳhizāñ ke mausam meñ
yaad bahut aatā hai
jab udāsiyāñ mujh ko ghertī haiñ
sabz patte apnā rang badalne lagte haiñ
jis vaqt ufuq ke bistar meñ
chāñd kī kirneñ sotī haiñ
tab shāḳheñ barahna ho jaatī haiñ
un shāḳhoñ ke jismoñ ko
shabnam chhūne lagtī haiñ
un ujḌī ujḌī shāḳhoñ se
tez havā.eñ
lipaT lipaT kar rotī haiñ
jab añdherā apnī bāñhoñ meñ raat ko le kar
ruḳhsat hotā hai
ḳhizāñ ke mausam jaisā jab dil hone lagtā hai
tab aksar vo shaḳhs yaad bahut aane lagtā hai
wo shaKHs KHizan ke mausam mein
aksar ek shaKHs KHizan ke mausam mein
yaad bahut aata hai
jab udasiyan mujh ko gherti hain
sabz patte apna rang badalne lagte hain
jis waqt ufuq ke bistar mein
chand ki kirnen soti hain
tab shaKHen barahna ho jati hain
un shaKHon ke jismon ko
shabnam chhune lagti hain
un ujDi ujDi shaKHon se
tez hawaen
lipaT lipaT kar roti hain
jab andhera apni banhon mein raat ko le kar
ruKHsat hota hai
KHizan ke mausam jaisa jab dil hone lagta hai
tab aksar wo shaKHs yaad bahut aane lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.