ye pahlī nazm un āñkhoñ kī ḳhātir hai
ki jin meñ chāñd tāroñ sī chamaktī shāh-rāhoñ par hazāroñ an-kahe jazbe hayā kī surḳh hiddat se pighalte haiñ
ki jin meñ ḳhvāb rātoñ meñ ufuq se ek shahzāda mohabbat kī na.ī nazmeñ liye nīche utartā hai
ki jin meñ ishq har ujlī sahar ummīd kī raushan zamīñ par ḳhvāhishoñ ke jism meñ tajsīm hotā hai
ki jin meñ dāstān-e-dil munaqqash atlasī aurāq par āyāt-e-rabbānī kī sūrat meñ bikhartā hai
ye pahlī nazm un sāñsoñ kī ḳhātir hai
ki jin meñ barahna bārish utar kar regzāroñ kī tapish ālūd rāhoñ ko gul-e-gulzār kartī hai
ki jin meñ hijr mausam kī tapish yāqūt ke donoñ kināroñ se kisī sayyāl kī sūrat pahuñchtī hai
ki jin ke sabz-zāroñ meñ rupahle ishq kī pahlī sunahrī shaam kī yādeñ mahaktī haiñ
ki jin meñ kapkapāte vasl kī sargoshiyāñ silvaT-zada yādoñ kī shakloñ meñ utartī haiñ
ye pahlī nazm un ḳhvāboñ kī ḳhātir hai
jo darja ḳhāmushī se haath kī resham lakīroñ meñ panapte ḳhvāhishoñ ko dekh kar ḳhush-rañg khultī haiñ
ki jin āñkhoñ kī gahrī jhiil meñ suufī mohabbat jaaz kī maddham dhunoñ par raqs kartī haiñ
ki jis ke lā-ḳharāshīda badan ke zard maa.il varaq par se hijr ke nuqte miTā kar vasl likhnā hai
pighalte vaqt ko jis chāñd dāman meñ libās-e-mushk oḌhe yak-digar ho kar Thaharnā hai
ye pahlī nazm un āñkhoñ kī ḳhātir hai ye pahlī nazm un sāñsoñ kī ḳhātir hai ye pahlī nazm un ḳhvāboñ kī ḳhātir hai
ye pahli nazm un aankhon ki KHatir hai
ki jin mein chand taron si chamakti shah-rahon par hazaron an-kahe jazbe haya ki surKH hiddat se pighalte hain
ki jin mein KHwab raaton mein ufuq se ek shahzada mohabbat ki nai nazmen liye niche utarta hai
ki jin mein ishq har ujli sahar ummid ki raushan zamin par KHwahishon ke jism mein tajsim hota hai
ki jin mein dastan-e-dil munaqqash atlasi auraq par aayat-e-rabbani ki surat mein bikharta hai
ye pahli nazm un sanson ki KHatir hai
ki jin mein barahna barish utar kar regzaron ki tapish aalud rahon ko gul-e-gulzar karti hai
ki jin mein hijr mausam ki tapish yaqut ke donon kinaron se kisi sayyal ki surat pahunchti hai
ki jin ke sabz-zaron mein rupahle ishq ki pahli sunahri sham ki yaaden mahakti hain
ki jin mein kapkapate wasl ki sargoshiyan silwaT-zada yaadon ki shaklon mein utarti hain
ye pahli nazm un KHwabon ki KHatir hai
jo darja KHamushi se hath ki resham lakiron mein panapte KHwahishon ko dekh kar KHush-rang khulti hain
ki jin aankhon ki gahri jhil mein sufi mohabbat jaz ki maddham dhunon par raqs karti hain
ki jis ke la-KHarashida badan ke zard mail waraq par se hijr ke nuqte miTa kar wasl likhna hai
pighalte waqt ko jis chand daman mein libas-e-mushk oDhe yak-digar ho kar Thaharna hai
ye pahli nazm un aankhon ki KHatir hai ye pahli nazm un sanson ki KHatir hai ye pahli nazm un KHwabon ki KHatir hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.