ek to ḳhvāb Darāte haiñ mujhe
dhuup meñ zard daraḳhtoñ pe khile kaale phuul
pahle paanī thā jahāñ dhuul vahāñ uḌtī hai
maiñ ne aurat ko nahīñ dekhā thā
us kā paiġhām milā bārish meñ
vo mire paas jab aa.ī thī to maiñ tanhā thā
aur is pahlī mulāqāt kī hairānī meñ
aaj bhī ġharq huuñ maiñ
log jis vahm meñ haiñ maiñ bhī huuñ
hai magar us ko mohabbat mujh se
varna kyuuñ ḳhvāb Darāte haiñ mujhe
dhuup meñ jhulsī huī saḌkoñ par
ab nahīñ chalne kā yaarā mujh meñ
raat din saḌkoñ pe āvāra phirā kartā thā
aur itnā bhī na sochā thā kabhī
kis se milne kī tamannā meñ thī vo bechainī
jab se dekhā hai use chāroñ taraf
ek ḳhāmoshī kā manzar hai sakūñ taarī hai
sirf itnā hai ki ab ḳhvāb Darāte haiñ mujhe
pahle duniyā meñ kahīñ ḳhauf na thā
ḳhvāhisheñ jāgīñ to ye ḳhauf bhī bedār hue
dhuup niklī to nazar aane lage phuul hī phuul
an-ginat rāste aurat ne dikhā.e mujh ko
shahr kī jaltī jhulastī huī saḌkoñ se alag
rāste jin pe mohabbat ke sivā kuchh bhī nahīñ
us kī āvāz havāoñ kī jagah
us kī āvāz parindoñ kī jagah
us kī āvāz sitāroñ kī jagah
āsmāñ vo hai samundar vo hai
kuchh bhī maujūd nahīñ us kī mohabbat ke sivā
jab use dekhtā huuñ mujh ko nazar aate haiñ
saikaḌoñ chāñd hazāroñ sūraj
har taraf raushniyāñ raushniyāñ raushniyāñ
zindagī pahle kabhī aisī dil-āvez na thī
ek ik lamha hai sadiyoñ kā safar
kabhī jañgal meñ kabhī parbat par
kabhī sahrāoñ meñ
kabhī vīrān ḳhalāoñ kā safar
vaqt kī vus.ateñ Thahre hue ik lamhe meñ
qaid haiñ lamha magar phailtā hī jaatā hai
aur ab ḳhvāb Darāte haiñ mujhe
aur maiñ sochtā huuñ
jaane kis ḳhvāb meñ kis ḳhvāb ne kis ḳhvāb ko dekhā hogā
log jis vahm meñ haiñ maiñ bhī huuñ
ek aurat kā ḳhayāl.....
ek to KHwab Daraate hain mujhe
dhup mein zard daraKHton pe khile kale phul
pahle pani tha jahan dhul wahan uDti hai
main ne aurat ko nahin dekha tha
us ka paigham mila barish mein
wo mere pas jab aai thi to main tanha tha
aur is pahli mulaqat ki hairani mein
aaj bhi gharq hun main
log jis wahm mein hain main bhi hun
hai magar us ko mohabbat mujh se
warna kyun KHwab Daraate hain mujhe
dhup mein jhulsi hui saDkon par
ab nahin chalne ka yara mujh mein
raat din saDkon pe aawara phira karta tha
aur itna bhi na socha tha kabhi
kis se milne ki tamanna mein thi wo bechaini
jab se dekha hai use chaaron taraf
ek KHamoshi ka manzar hai sakun tari hai
sirf itna hai ki ab KHwab Daraate hain mujhe
pahle duniya mein kahin KHauf na tha
KHwahishen jagin to ye KHauf bhi bedar hue
dhup nikli to nazar aane lage phul hi phul
an-ginat raste aurat ne dikhae mujh ko
shahr ki jalti jhulasti hui saDkon se alag
raste jin pe mohabbat ke siwa kuchh bhi nahin
us ki aawaz hawaon ki jagah
us ki aawaz parindon ki jagah
us ki aawaz sitaron ki jagah
aasman wo hai samundar wo hai
kuchh bhi maujud nahin us ki mohabbat ke siwa
jab use dekhta hun mujh ko nazar aate hain
saikaDon chand hazaron suraj
har taraf raushniyan raushniyan raushniyan
zindagi pahle kabhi aisi dil-awez na thi
ek ek lamha hai sadiyon ka safar
kabhi jangal mein kabhi parbat par
kabhi sahraon mein
kabhi viran KHalaon ka safar
waqt ki wusaten Thahre hue ek lamhe mein
qaid hain lamha magar phailta hi jata hai
aur ab KHwab Daraate hain mujhe
aur main sochta hun
jaane kis KHwab mein kis KHwab ne kis KHwab ko dekha hoga
log jis wahm mein hain main bhi hun
ek aurat ka KHayal
- Book : tanhaa.ii (Pg. 201)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.