nazm
chiḌiyā paanī piine aa.ī lekin koī baat na kī
maiñ us ko ik laḌkī kī tasvīr dikhānā chāhtā thā
paas biThā kar koī adhūrā giit sunānā chāhtā thā
us ke paroñ ko apne jīvan par phailānā chāhtā thā
thoḌī der ko dhartī se ambar par jaanā chāhtā thā
chiḌiyā paanī piine aa.ī lekin koī baat na kī
shaam se pahle vo bhī apne ghar ko jaanā chāhtī thī
rañg-birañge tinkoñ se ik ḳhvāb banānā chāhtī thī
chāñd sitāroñ ko sūraj ko haath lagānā chāhtī thī
paanī pī ke vo bhī ik bādal ban jaanā chāhtī thī
chiDiya pani pine aai lekin koi baat na ki
main us ko ek laDki ki taswir dikhana chahta tha
pas biTha kar koi adhura git sunana chahta tha
us ke paron ko apne jiwan par phailana chahta tha
thoDi der ko dharti se ambar par jaana chahta tha
chiDiya pani pine aai lekin koi baat na ki
sham se pahle wo bhi apne ghar ko jaana chahti thi
rang-birange tinkon se ek KHwab banana chahti thi
chand sitaron ko suraj ko hath lagana chahti thi
pani pi ke wo bhi ek baadal ban jaana chahti thi
- Book : saarii nazmen (Pg. 772)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.