nazm
tum agar yahāñ hotīñ
ham kisī savārī meñ
āsmān tak jaate
nīl-gūñ sitāroñ par
bādaloñ ke raste se
har makān tak jaate
saath meñ havāoñ ke
bādbān tak jaate
kashtiyoñ meñ so jaate
ḳhvāb ban ke kho jaate
ek yaad ho jaate
tum agar yahan hotin
hum kisi sawari mein
aasman tak jate
nil-gun sitaron par
baadalon ke raste se
har makan tak jate
sath mein hawaon ke
baadban tak jate
kashtiyon mein so jate
KHwab ban ke kho jate
ek yaad ho jate
- Book : saarii nazmen (Pg. 806)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.