nazm
shā.erī
ek mo.ajaza hai
jo zaḳhmoñ ko
phūloñ meñ tabdīl kar detī hai
shāyad maiñ ne ġhalat kahā
kyūñki ye phuul
koī vāzeh shakl iḳhtiyār nahīñ kar paate
in kā koī rañg nahīñ hotā
in se koī ḳhushbū nahīñ nikaltī
in ko nazmoñ kī kitāb meñ nahīñ rakkhā jā saktā
mahbūba ko nahīñ diyā jā saktā
dostoñ ko nahīñ bhejā jā saktā
town-hall meñ in kī numā.ish nahīñ kī jā saktī
koī bank har roz
in kī qīmat-e-ḳharīd yā qīmat-e-faroḳht jaarī nahīñ kartā
har qism ke jazbe se aarī ye phuul
insānī tārīḳh meñ koī numāyāñ maqām
hāsil nahīñ kar pā.eñge
koī inheñ ḳhvāboñ meñ nahīñ dekhegā
ye kisī saḌak ke kināre nahīñ kheleñge
inheñ koī kashtī meñ bhar ke nahīñ le jā.egā
baġhair kisī mausam ke phūTne vaale ye phuul
shā.erī kā mo.ajaza haiñ
aag miTTī havā aur paanī kī shāyad inheñ zarūrat hī nahīñ paḌtī
ye insān kī āvāz ke saath nashv-o-numā paate haiñ
insān kī ḳhāmoshī meñ hamesha zinda rahte haiñ
insānī lams se jilā paane vaale ye shāhkār
insān kī tarah fanā nahīñ kiye jā sakte
hathiyāroñ kī madad se muta.assir nahīñ kiye jā sakte
shā.erī ek mo.ajaza hai
jo zaḳhmoñ ko phūloñ meñ
yā kisī bhī chiiz ko kisī chiiz meñ badal saktā hai
zinda rakh saktā hai
shaeri
ek moajaza hai
jo zaKHmon ko
phulon mein tabdil kar deti hai
shayad main ne ghalat kaha
kyunki ye phul
koi wazeh shakl iKHtiyar nahin kar pate
in ka koi rang nahin hota
in se koi KHushbu nahin nikalti
in ko nazmon ki kitab mein nahin rakkha ja sakta
mahbuba ko nahin diya ja sakta
doston ko nahin bheja ja sakta
town-hall mein in ki numaish nahin ki ja sakti
koi bank har roz
in ki qimat-e-KHarid ya qimat-e-faroKHt jari nahin karta
har qism ke jazbe se aari ye phul
insani tariKH mein koi numayan maqam
hasil nahin kar paenge
koi inhen KHwabon mein nahin dekhega
ye kisi saDak ke kinare nahin khelenge
inhen koi kashti mein bhar ke nahin le jaega
baghair kisi mausam ke phuTne wale ye phul
shaeri ka moajaza hain
aag miTTi hawa aur pani ki shayad inhen zarurat hi nahin paDti
ye insan ki aawaz ke sath nashw-o-numa pate hain
insan ki KHamoshi mein hamesha zinda rahte hain
insani lams se jila pane wale ye shahkar
insan ki tarah fana nahin kiye ja sakte
hathiyaron ki madad se mutassir nahin kiye ja sakte
shaeri ek moajaza hai
jo zaKHmon ko phulon mein
ya kisi bhi chiz ko kisi chiz mein badal sakta hai
zinda rakh sakta hai
- Book : saarii nazmen (Pg. 690)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.