nazm
raat ik sitāre ne
tum ko der tak dekhā
aur samajh nahīñ paayā
jhiil jaisī āñkhoñ meñ
be-vajah chamak kyuuñ hai
in siyāh zulfoñ meñ
is qadr mahak kyuuñ hai
tum ko dekhne ke ba.ad
dil meñ ik kasak kyuuñ hai
raat ek sitare ne
tum ko der tak dekha
aur samajh nahin paya
jhil jaisi aankhon mein
be-wajah chamak kyun hai
in siyah zulfon mein
is qadr mahak kyun hai
tum ko dekhne ke baad
dil mein ek kasak kyun hai
- Book : saarii nazmen (Pg. 792)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.