nazm
bahut thoḌe se dinoñ ke liye
hameñ ḳhushī de dī jaa.e
yā saḌak ke donoñ jānib
sāya-dār daraḳhtoñ kā saaya
bahut thoḌe se dinoñ ke liye
tez dhuup ham se vāpas le lī jaa.e
yā donoñ pairoñ meñ pahanñe ke liye
siyāh maḳhmal ke bane juute
de diye jaa.eñ
bahut thoḌe se dinoñ ke liye
ham se pattharoñ se bane rāste par
chalne ke liye na kahā jaa.e
shaam ke aḳhbār ke saath
kisī bhī rañg ke do phūloñ
aur ek rumāl
bahut thoḌe se dinoñ ke liye
hameñ kisī bhī tarah kī
koī ḳhabar na dī jaa.e
hamārī āñkhoñ meñ
āñkhoñ Daal ke dekhā jaa.e
hameñ bheḌiyoñ ke havāle na kiyā
bahut thoḌe se dinoñ ke liye
hameñ ek kashtī ek chāñd
yā ek samundar se ziyāda
ahmiyat nahīñ dī jaa.e
bahut thoDe se dinon ke liye
hamein KHushi de di jae
ya saDak ke donon jaanib
saya-dar daraKHton ka saya
bahut thoDe se dinon ke liye
tez dhup hum se wapas le li jae
ya donon pairon mein pahanne ke liye
siyah maKHmal ke bane jute
de diye jaen
bahut thoDe se dinon ke liye
hum se pattharon se bane raste par
chalne ke liye na kaha jae
sham ke aKHbar ke sath
kisi bhi rang ke do phulon
aur ek rumal
bahut thoDe se dinon ke liye
hamein kisi bhi tarah ki
koi KHabar na di jae
hamari aankhon mein
aankhon Dal ke dekha jae
hamein bheDiyon ke hawale na kiya
bahut thoDe se dinon ke liye
hamein ek kashti ek chand
ya ek samundar se ziyaada
ahmiyat nahin di jae
- Book : saarii nazmen (Pg. 377)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.