nazm
hameñ ek daraḳht ko
sar-buland karnā chāhiye
vo batri se chalne vaale
aare le kar, be-shumār mazdūr le kar
use kāTne aa.e haiñ
vo chaubīs pahiyoñ vaalā Truck le kar
use jañgal kī hudūd se bāhar le jaane aa.e haiñ
vo containeroñ se bharā jahāz le kar
is kī shāḳheñ, patte, tanā aur jaḌeñ
samundarī rāste se
apne headquarter tak le jaane aa.e haiñ
hameñ jis daraḳht ko sar-buland karnā hai
us kī havā, paanī aur zamīn chhīnī jā chukī hai
us ke parinde aur dhuup chhīnī jā chukī hai
us kā saaya aur ḳhvāb chhīne jā chuke haiñ
sirf mohabbat baaqī hai jis kī madad se
ham apne dil ko is kī zamīn
apnī āñkhoñ ko is kī jaḌeñ
aur apne bāzuoñ ko us kī shāḳheñ banā deñge
use sahārā deñge
aur hamesha sar-buland rakheñge
hamein ek daraKHt ko
sar-buland karna chahiye
wo batri se chalne wale
aare le kar, be-shumar mazdur le kar
use kaTne aae hain
wo chaubis pahiyon wala Truck le kar
use jangal ki hudud se bahar le jaane aae hain
wo containeron se bhara jahaz le kar
is ki shaKHen, patte, tana aur jaDen
samundari raste se
apne headquarter tak le jaane aae hain
hamein jis daraKHt ko sar-buland karna hai
us ki hawa, pani aur zamin chhini ja chuki hai
us ke parinde aur dhup chhini ja chuki hai
us ka saya aur KHwab chhine ja chuke hain
sirf mohabbat baqi hai jis ki madad se
hum apne dil ko is ki zamin
apni aankhon ko is ki jaDen
aur apne bazuon ko us ki shaKHen bana denge
use sahaara denge
aur hamesha sar-buland rakhenge
- Book : saarii nazmen (Pg. 728)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.