nazmen mujhko DhunD rahi hain
nazmeñ mujh ko DhūñD rahī haiñ
lekin shāyad
maiñ to qabristān kā rasta bhuul ga.ī huuñ
aur apne bosīda aur murda ḳhvāboñ ko
apne hī kāñdhe pe uThā.e
qarya qarya ghuum rahī huuñ
ye bhī yaad nahīñ hai mujh ko
maazī ik āseb-zada vīrān khañDar hai
haal faqat parkār kī gardish
mustaqbil ik bahlāvā hai
tīnoñ dariyā ek samundar meñ girte haiñ
nazmeñ mujh ko DhūñD rahī haiñ
lekin maiñ imkān kā rasta bhuul ga.ī huuñ
ye bhī yaad nahīñ hai mujh ko
dukh ke rele meñ aksar
taḳhlīq kī kaḌiyāñ kho jaatī haiñ
nazmeñ bhī gum ho jaatī haiñ
nazmen mujh ko DhunD rahi hain
lekin shayad
main to qabristan ka rasta bhul gai hun
aur apne bosida aur murda KHwabon ko
apne hi kandhe pe uThae
qarya qarya ghum rahi hun
ye bhi yaad nahin hai mujh ko
mazi ek aaseb-zada viran khanDar hai
haal faqat parkar ki gardish
mustaqbil ek bahlawa hai
tinon dariya ek samundar mein girte hain
nazmen mujh ko DhunD rahi hain
lekin main imkan ka rasta bhul gai hun
ye bhi yaad nahin hai mujh ko
dukh ke rele mein aksar
taKHliq ki kaDiyan kho jati hain
nazmen bhi gum ho jati hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.