aadhi raat
1
siyāh peḌ haiñ ab aap apnī parchhā.īñ
zamīñ se tā-mah-o-anjum sukūt ke mīnār
jidhar nigāh kareñ ik athāh gum-shudgī
ik ek kar ke fasurda charāġhoñ kī palkeñ
jhapak ga.iiñ jo khulī haiñ jhapakne vaalī haiñ
jhalak rahā hai paḌā chāñdnī ke darpan meñ
rasīle kaif bhare manzaroñ kā jāgtā ḳhvāb
falak pe tāroñ ko pahlī jamāhiyāñ aa.iiñ
2
tamoliyoñ kī dokāneñ kahīñ kahīñ haiñ khulī
kuchh ūñghtī huī baḌhtī haiñ shāh-rāhoñ par
savāriyoñ ke baḌe ghuñgrūoñ kī jhankāreñ
khaḌā hai os meñ chup-chāp har siñgār kā peḌ
dulhan ho jaise hayā kī sugandh se bojhal
ye mauj-e-nūr ye bharpūr ye khilī huī raat
ki jaise khiltā chalā jaa.e ik safed kañval
sipāh-e-rūs hai ab kitnī duur berlin se
jagā rahā hai koī aadhī raat kā jaadū
chhalak rahī hai ḳhum-e-ġhaib se sharāb-e-vajūd
fazā-e-nīm-shabī nargis-e-ḳhumār-ālūd
kañval kī chuTkiyoñ meñ band hai nadī kā suhāg
3
ye ras kā sej ye sukumār ye sukomal gaat
nayan kamal kī jhapak kām-rūp kā jaadū
ye rasmasā.ī palak kī ghanī ghanī parchhā.īñ
falak pe bikhre hue chāñd aur sitāroñ kī
chamaktī uñgliyoñ se chhiḌ ke saaz fitrat ke
tarāne jāgne vaale haiñ tum bhī jaag uTho
4
shuā-e-mahr ne yuuñ un ko chuum chuum liyā
nadī ke biich kumudnī ke phuul khil uTThe
na muflisī ho to kitnī hasīn hai duniyā
ye jhā.eñ jhā.eñ sī rah rah ke ek jhīñgur kī
hinā kī Tattiyoñ meñ narm sarsarāhaT sī
fazā ke siine meñ ḳhāmosh sansanāhaT sī
ye kā.enāt ab ik niiñd le chukī hogī
5
ye mahv-e-ḳhvāb haiñ rañgīn machhliyāñ tah-e-āb
ki hauz-e-sehn meñ ab in kī chashmakeñ bhī nahīñ
ye sar-nigūñ haiñ sar-e-shāḳh phuul guḌhal ke
ki jaise be-bujhe añgāre ThanDe paḌ jaa.eñ
ye chāñdnī hai ki umDā huā hai ras-sāgar
ik aadmī hai ki itnā dukhī hai duniyā meñ
6
qarīb chāñd ke mañDlā rahī hai ik chiḌiyā
bhañvar meñ nuur ke karvaT se jaise naav chale
ki jaise sīna-e-shā.ir meñ koī ḳhvāb pale
vo ḳhvāb sāñche meñ jis ke na.ī hayāt Dhale
vo ḳhvāb jis se purānā nizām-e-ġham badle
kahāñ se aatī hai madmāltī latā kī lipaT
ki jaise saikḌoñ pariyāñ gulābiyāñ chhiḌkā.eñ
ki jaise saikḌoñ ban-deviyoñ ne jhūle par
adā-e-ḳhās se ik saath baal khol diye
lage haiñ kaan sitāroñ ke jis kī aahaT par
is inqalāb kī koī ḳhabar nahīñ aatī
dil-e-nujūm dhaḌakte haiñ kaan bajte haiñ
7
ye saañs letī huī kā.enāt ye shab-e-māh
ye pur-sukūñ ye pur-asrār ye udaas samāñ
ye narm narm havāoñ ke nīl-gūñ jhoñke
fazā kī oT meñ mardoñ kī gungunāhaT hai
ye raat maut kī be-rañg muskurāhaT hai
dhuāñ dhuāñ se manāzir tamām nam-dīda
ḳhunuk dhundalke kī āñkheñ bhī niim ḳhvābīda
sitāre haiñ ki jahāñ par hai āñsuoñ kā kafan
hayāt parda-e-shab meñ badaltī hai pahlū
kuchh aur jaag uThā aadhī raat kā jaadū
zamāna kitnā laḌā.ī ko rah gayā hogā
mire ḳhayāl meñ ab ek baj rahā hogā
8
guloñ ne chādar-e-shabnam meñ muñh lapeT liyā
laboñ pe so ga.ī kaliyoñ kī muskurāhaT bhī
zarā bhī sumbul-e-turkī laTeñ nahīñ hiltīñ
sukūt-e-nīm-shabī kī hadeñ nahīñ miltīñ
ab inqalāb meñ shāyad ziyāda der nahīñ
guzar rahe haiñ ka.ī kārvāñ dhundalke meñ
sukūt-e-nīm-shabī hai unhīñ ke paañv kī chaap
kuchh aur jaag uThā aadhī raat kā jaadū
9
na.ī zamīn nayā āsmāñ na.ī duniyā
na.e sitāre na.ī gardisheñ na.e din raat
zamīñ se tā-ba-falak intizār kā aalam
fazā-e-zard meñ dhuñdle ġhubār kā aalam
hayāt maut-numā intishār kā aalam
hai mauj-e-dūd ki dhundlī fazā kī nabzeñ haiñ
tamām ḳhastagī-o-māñdgī ye daur-e-hayāt
thake thake se ye taare thakī thakī sī ye raat
ye sard sard ye be-jān phīkī phīkī chamak
nizām-e-sāniya kī maut kā pasīnā hai
ḳhud apne aap meñ ye kā.enāt Duub ga.ī
ḳhud apnī kokh se phir jagmagā ke ubhregī
badal ke kechulī jis tarah naag lahrā.e
10
ḳhunuk fazāoñ meñ raqsāñ haiñ chāñd kī kirneñ
ki ābgīnoñ pe paḌtī hai narm narm phuvār
ye mauj-e-ġhaflat-e-ma.asūm ye ḳhumār-e-badan
ye saañs niiñd meñ Duubī ye aañkh madmātī
ab aao mere kaleje se lag ke so jaao
ye palkeñ band karo aur mujh meñ kho jaao
1
siyah peD hain ab aap apni parchhain
zamin se ta-mah-o-anjum sukut ke minar
jidhar nigah karen ek athah gum-shudgi
ek ek kar ke fasurda charaghon ki palken
jhapak gain jo khuli hain jhapakne wali hain
jhalak raha hai paDa chandni ke darpan mein
rasile kaif bhare manzaron ka jagta KHwab
falak pe taron ko pahli jamahiyan aain
2
tamoliyon ki dokanen kahin kahin hain khuli
kuchh unghti hui baDhti hain shah-rahon par
sawariyon ke baDe ghungruon ki jhankaren
khaDa hai os mein chup-chap har singar ka peD
dulhan ho jaise haya ki sugandh se bojhal
ye mauj-e-nur ye bharpur ye khili hui raat
ki jaise khilta chala jae ek safed kanwal
sipah-e-rus hai ab kitni dur berlin se
jaga raha hai koi aadhi raat ka jadu
chhalak rahi hai KHum-e-ghaib se sharab-e-wajud
faza-e-nim-shabi nargis-e-KHumar-alud
kanwal ki chuTkiyon mein band hai nadi ka suhag
3
ye ras ka sej ye sukumar ye sukomal gat
nayan kamal ki jhapak kaam-rup ka jadu
ye rasmasai palak ki ghani ghani parchhain
falak pe bikhre hue chand aur sitaron ki
chamakti ungliyon se chhiD ke saz fitrat ke
tarane jagne wale hain tum bhi jag uTho
4
shua-e-mahr ne yun un ko chum chum liya
nadi ke bich kumudni ke phul khil uTThe
na muflisi ho to kitni hasin hai duniya
ye jhaen jhaen si rah rah ke ek jhingur ki
hina ki Tattiyon mein narm sarsarahaT si
faza ke sine mein KHamosh sansanahaT si
ye kaenat ab ek nind le chuki hogi
5
ye mahw-e-KHwab hain rangin machhliyan tah-e-ab
ki hauz-e-sehn mein ab in ki chashmaken bhi nahin
ye sar-nigun hain sar-e-shaKH phul guDhal ke
ki jaise be-bujhe angare ThanDe paD jaen
ye chandni hai ki umDa hua hai ras-sagar
ek aadmi hai ki itna dukhi hai duniya mein
6
qarib chand ke manDla rahi hai ek chiDiya
bhanwar mein nur ke karwaT se jaise naw chale
ki jaise sina-e-shair mein koi KHwab pale
wo KHwab sanche mein jis ke nai hayat Dhale
wo KHwab jis se purana nizam-e-gham badle
kahan se aati hai madmalti lata ki lipaT
ki jaise saikDon pariyan gulabiyan chhiDkaen
ki jaise saikDon ban-dewiyon ne jhule par
ada-e-KHas se ek sath baal khol diye
lage hain kan sitaron ke jis ki aahaT par
is inqalab ki koi KHabar nahin aati
dil-e-nujum dhaDakte hain kan bajte hain
7
ye sans leti hui kaenat ye shab-e-mah
ye pur-sukun ye pur-asrar ye udas saman
ye narm narm hawaon ke nil-gun jhonke
faza ki oT mein mardon ki gungunahaT hai
ye raat maut ki be-rang muskurahaT hai
dhuan dhuan se manazir tamam nam-dida
KHunuk dhundalke ki aankhen bhi nim KHwabida
sitare hain ki jahan par hai aansuon ka kafan
hayat parda-e-shab mein badalti hai pahlu
kuchh aur jag uTha aadhi raat ka jadu
zamana kitna laDai ko rah gaya hoga
mere KHayal mein ab ek baj raha hoga
8
gulon ne chadar-e-shabnam mein munh lapeT liya
labon pe so gai kaliyon ki muskurahaT bhi
zara bhi sumbul-e-turki laTen nahin hiltin
sukut-e-nim-shabi ki haden nahin miltin
ab inqalab mein shayad ziyaada der nahin
guzar rahe hain kai karwan dhundalke mein
sukut-e-nim-shabi hai unhin ke panw ki chap
kuchh aur jag uTha aadhi raat ka jadu
9
nai zamin naya aasman nai duniya
nae sitare nai gardishen nae din raat
zamin se ta-ba-falak intizar ka aalam
faza-e-zard mein dhundle ghubar ka aalam
hayat maut-numa intishaar ka aalam
hai mauj-e-dud ki dhundli faza ki nabzen hain
tamam KHastagi-o-mandgi ye daur-e-hayat
thake thake se ye tare thaki thaki si ye raat
ye sard sard ye be-jaan phiki phiki chamak
nizam-e-saniya ki maut ka pasina hai
KHud apne aap mein ye kaenat Dub gai
KHud apni kokh se phir jagmaga ke ubhregi
badal ke kechuli jis tarah nag lahrae
10
KHunuk fazaon mein raqsan hain chand ki kirnen
ki aabginon pe paDti hai narm narm phuwar
ye mauj-e-ghaflat-e-masum ye KHumar-e-badan
ye sans nind mein Dubi ye aankh madmati
ab aao mere kaleje se lag ke so jao
ye palken band karo aur mujh mein kho jao
- Book : Gul-e-Naghma (Pg. 138)
- Author : Firaq Gorakhpuri
- Publication : Maktaba Farogh-e-urdu Matia Mahal Jama Masjid Delhi (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.